Sunday, December 9, 2007

us bazm me.n...

us bazm me.n mujhe nahii.n banatii hayaa kiye
baiThaa rahaa agarche ishaare huaa kiye.
dil hii to hai siyaasat-e-darbaa.N se Dar gayaa
mai.n aur jaauu.N dar se tere bin sadaa kiye.

rakhataa phiruu.N huu.N Khiirqaa-o-sajjaadaa rahan-e-mai
muddat huii hai daavat-e-aab-o-havaa kiye.

be_sarfaa hii guzaratii hai, ho garche umr-e-Khizr
hazarat bhii kal kahe.nge ki ham kyaa kiyaa kiye.

maqaduur ho to Khaak se puuchhuu.N ke ae laiim
tuune vo ga.nj haaye giraa.N_maayaa kyaa kiye.

kis roz tohamate.n na taraashaa kiye aduu
kis din hamaare sar pe na aare chalaa kiye.

sohabat me.n Gair kii na pa.Dii ho kahii.n ye Khuu
dene lagaa hai bose baGair iltijaa kiye.

zid kii hai aur baat magar Khuu burii nahii.n
bhuule se us ne saika.Do.n vaade-vafaa kiye.

'Ghalib' tumhii.n kaho ki milegaa javaab kyaa
maanaa ki tum kahaa kiye aur vo sunaa kiye.

surmaa-e-muft...

surmaa-e-muft-e-nazar huu.N merii qiimat ye hai
ke rahe chashm-e-Kharidaar pe ehasaa.N meraa.

ruKhsat-e-naalaa mujhe de ke mabaadaa zaalim
tere chehare se ho zaahir Gam-e-pinhaa.N meraa.

vo aake Khvaab me...

vo aake Khvaab me.n taskiin-e-iztiraab to de
vale mujhe tapish-e-dil majaal-e-Khwaab to de.

kare hai qatl lagaavaT me.n teraa ro denaa
terii tarah koii teG-e-nigaah ko aab to de.

dikhaake jumbish-e-lab hii tamaam kar hamako
na de jo bosaa to muu.Nh se kahii.n javaab to de.

pilaa de oak se saaqii jo hamase nafrat hai
pyaalaa gar nahii.n detaa na de, sharaab to de.

'Asad' Khushii se mere haath paa.Nv phuul gae
kahaa jo us ne zaraa mere paa.Nv daab to de.

bas ki dushwaar hai .....

bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.N honaaa
aadamii ko bhii mayassar nahii.n insaa.N honaa.

giriyaa chaahe hai Kharaabii mere kaashaane kii
dar-o-diivaar se Tapake hai bayaabaa.N honaa.

waa-e-diiwaangii-e-shauq ke har dam mujh ko
aap jaanaa udhar aur aap hii hairaa.N honaa.

jalvaa az_bas ke taqaaza-e-nigah karataa hai
jauhar-e-aaiina bhii chaahe hai mizaGaa.N honaa.

ishrat-e-qatl_gah-e-ahal-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaaraa hai shamashiir kaa uriyaa.N honaa.

le gaye Khaak me.n ham daaG-e-tamannaa-e-nishaat
tuu ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaa. N honaa.

ishrat-e-paaraa-e-dil, zaKhm-e-tamannaa_Khaanaa
lazzat-e-riish-e-jigar Garq-e-namakdaa.N honaa.

kii mere qatl ke baad us ne jafaa se taubaa
haaye us zod_pashemaa.N kaa pashemaa.N honaa.

haif us chaar girah kapa.De kii qismat 'Ghalib'
jis kii qismat me.n ho aashiq kaa garebaa.N honaa.

hairaa.N huu.N dil ko rouu.N.....

hairaa.N huu.N dil ko rouu.N ki piituu.N jigar ko mai.n
maqaduur huu.N to saath rakhuu.N nauhaagar ko mai.n.

chho.Daa na rashk ne ki tere ghar kaa naam luu.N
har ek se puuchhataa huu.N ki jaauu.N kidhar ko mai.n.

jaana pa.Daa raqiib ke dar par hazaar baar
ai kaash jaanataa na terii rahaguzar ko mai.n.

hai kyaa jo kas ke baa.Ndhiye merii balaa Dare
kyaa jaanataa nahiiN huu.N tumhaarii kamar ko mai.n

lo vo bhii kahate hai.n ki ye be_nang-o-naam hai
ye jaanataa agar to luTaataa na ghar ko mai.n.

chalataa huu.N tho.Dii duur har ik tez rau ke saath
pahachaanataa nahii.n huu.N abhii raahabar ko mai.n.

Khvaahish ko ahamaqo.n ne parastish diyaa qaraar
kyaa puujataa huu.N us but-e-bedaadagaar ko mai.n.

phir beKhudii me.n bhuul gayaa raah-e-kuu-e-yaar
jaataa vagarnaa ek din apanii Khabar ko mai.n.

apane pe kar rahaa huu.N qiyaas ahal-e-dahar kaa
samajhaa huu.N dil paziir mataa-e-hunar ko mai.n.

"Ghalib" Khudaa kare ki savaar-e-sama.nd-e-naaz
dekhuu.N alii bahaadur-e-aaliiguhar ko mai.n.

dhotaa huu.N jab mai.n......

dhotaa huu.N jab mai.n piine ko us siimatan ke paa.Nv
rakhaataa hai zid se khe.nch kar baahar lagan ke paa.Nv.

dii saadagii se jaan pa.Duu.N kohakan ke paa.Nv
hai haat kyo.n na TuuT gae piirazan ke paa.Nv.

bhaage the ham bahut so usii kii sazaa hai ye
hokar asiir daabate hai.n raahazan ke paa.Nv.

maraham kii justajuu me.n phiraa huu.N jo duur-duur
tan se sivaa fiGaar hai.n is Khastaa tan ke paa.Nv.

allaah re zauq-e-dashtan_vardii ke ba_ade-marg
hilate hai.n Khud-ba-Khud mere a.ndar kafan ke paa.Nv.

hai josh-e-gul bahaar me.n yaa.N tak ki har taraf
u.Date hue ulajhate hai.n murG-e-chaman ke paa.Nv.

shab ko kisii ke Khvaab me.n aayaa na ho kahii.n
dukhate hai.n aaj us but-e-naazuk_badan ke paa.Nv.

'Ghalib' mere kalaam me.n kyo.n kar mazaa na ho
piitaa huu.N Khusro-e-shiirii.n_suKhan ke paa.Nv

daayam pa.Daa huaa......

daayam pa.Daa huaa tere dar par nahii.n huu.N mai.n
Khaak aisii zindagii pe ke paththar nahii.n huu.N mai.n .

kyuu.N gardish-e-mudaam se ghabaraa na jaaye dil
insaan huu.N, pyaalaa-o-saaGar nahii.n huu.N mai.n.

yaarab! zamaanaa mujh ko miTaataa hai kis liye
lauh-e-jahaa.N pe harf-e-mukarrar nahii.n huu.N mai.n.

had chaahiye sazaa me.n uquubat ke waaste
aaKhir gunaahagaar huu.N, kaafir nahii.n huu.N mai.n.

kis waaste aziiz nahii.n jaanate mujhe
laal-o-zumaruud-o-zar-o-gauhar nahii.n huu.N mai.n.

rakhate ho tum qadam merii aa.Nkho.n se kyuu.n dareG
rutabe me.n mahr-o-maah se kamatar nahii.n huu.N mai.n.

karate ho mujhako manaa-e-qadam_bos kis liye
kyaa aasmaa.N ke bhii baraabar nahii.n huu.N mai.n.

'Ghalib' wazifaa_Khwaar ho, do shaah ko duaa
wo din gaye ki kahate the "naukar nahii.n huu.N mai.n .

Saturday, December 8, 2007

Gazals of Mirza (Zulmat.....)

Zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
Ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai.
Nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
Muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai.

Mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab
'Ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai.
Gauhar ko iqd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna
Kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai.
Deedaar baada, hausla saaqee, nigaah mast
Bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai.
'Ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
Zinhaar agar tumhaiN hawas-e-nae-o-nosh hai*.
Dekho mujhe jo deeda-e-ibrat nigaah ho
Meree suno jo gosh-e-naseehat niyosh hai.
Saaqee ba_jalwa dushman-e-imaan-o-aagahee
Mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai.
Ya shab ko dekhte the ke har gosha-e-bisaat
Daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai.
Lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
Yeh jannat-e-nigaah woh firdaus-e-gosh hai.

Ya subh dam jo dekhiye aakar to bazm meiN
Nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai.
DaaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
Ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai.
Aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai.

Yaadon ka ek .....

Yaadon ka ek jhonka aaya hum se milne barson baad
Pahle itna roye nahin the jitna roye barson baad.
Lamha lamha ghar ujra hai mushkil se ehsaas hua
Patthar aaye barson pahle sheeshe toote barson baad.
Aaj humari khaak pe dunia rone dhone bethi hai
Phool huye hain jaane kaise itne saste barson baad.
Bhool bhi jao kaise toota kyon toota
Dhoond rahe ho kya galiyon mein dil ke tukre barson baad.
Dastak ki umeed lagaye kab tak aise jeete hum
Kal ka waada karne wale milne aaye barson baad.

Gazals of Mirza

Yahan aur Wahan
Shabb ke barq-e soz-e dil se zahra-e abr aab tha
Shola-e jwala har ek halqa-e girdaab thaa
Waan karam ko uzr-e barish thaa
anaa'n geer khraam...Girya sae yaan panba-e balish kaf-e sailaab thaa...
Waan khud aaraee ko tha moti pironay ka khayal...
Yaan hujoom-e ashk mayn, taar-e nigah nayab thaa...
Yaan sar-e pur shor bay khwabi say thaa deewa-re joo...
Waan woh farq-e naaz, mahw-e baalish-e kam khwab thaa...
Farsh say taa arsh, waan toofan thaa mauj-e rang kaa...
Yaan zameen sae aasman tak saukhtan ka baab thaa...
Mayn nay roka raat Ghalib ko wagarna daikhtay...
Us kay seel-e girya mayn gardoon kaf-e sailab thaa.

Wednesday, December 5, 2007

zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai...

zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai.

nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai.

mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab
'ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai.

gauhar ko ikd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna
kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai.

deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast
bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai

'ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
zinhaar gar tumhaiN hawas-e-na-o-nosh hai.

dekho mujhe jo deeda-e-ibrat_nigaah ho
meree suno jo gosh-e-naseehat_niyosh hai.

saaqee ba_jalwa dushman-e-imaan-o-aagahee
mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai.

ya shab ko dekhte the; ki har gosha-e-bisaat
daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai.

lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
yeh jannat-e-nigaah woh firdaus-e-gosh hai.

ya subh dam jo dekhiye aakar to bazm meiN
nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai.
daaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai.

aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai.

hairaaN hooN .....

hairaaN hooN dil ko ro'ooN ki peetooN jigar ko maiN ?
maqdoor hooN to saath rakhooN nauhaagar ko maiN.
choDa na rashk ne ki tere ghar ka naam looN ?
har ek se poochta hooN ki jaaooN kidhar ko maiN ?
jaana paDa raqeeb ke dar par hazaar baar
'ei kaash jaanta na teree rahguzar ko maiN.
hai kya jo kas ke baaNdhiye meree bala dar'e
kya jaanta naheeN hooN tumhaaree kamar ko maiN ?
lo woh bhee kahate haiN ki yeh be_nang-o-naam hai
yeh jaanta agar to luTaata na ghar ko maiN.
chalta hooN thoDee door har ik tez rau ke saath
pehchaanta naheeN hooN abhee raahabar ko maiN.
KHwaahish ko 'ahamqoN ne parastish diya qaraar
kya poojta hooN us but-e-bedaadgar ko maiN ?
fir be_KHudee meiN bhool gaya raah-e-koo-e-yaar
jaata wagarna ek din apnee KHabar ko maiN.
apne pe kar raha hooN qiyaas 'ahl-e-dahar ka
samjha hooN dil_pazeer mata'a-e-hunar ko maiN.
'GHalib' KHuda kare ki sawaar-e-samand-e-naaz
dekhooN 'alee_bahaadur-e-aalee_guhar ko maiN.

ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair....

ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair
jaanega ab bhee too na mera ghar kahe baGHair
kehte haiN, jab rahee na mujhe taaqat-e-suKHan
jaanooN kisee ke dil ki maiN kyoNkar kahe baGHair.
kaam us'se aa paDa hai ki jiska jahaan meiN
lewe na koee naam 'sitamgar' kahe baGHair.
jee meiN hee kuchch naheeN hai hamaare, wagarna ham
sar jaaye ya rahe, na rahaiN par kahe baGHair.
choDooNga maiN na us but-e-kaafir ka poojna
choDe na KHalq go mujhe kaafir kahe baGHair
maqsad hai naaz-o-GHamza, wale guftagoo meiN kaam
chalta naheeN hai, dashna-o-KHanjar kahe baGHair.
har chand ho mushaahit-e-haq ki guftagoo
bantee naheeN hai baada-o-saaGHar kahe baGHair.
behra hooN maiN to chaahiye doona ho iltafaat
sunta naheeN hooN baat muqarrar kahe baGHair.
'GHalib' na kar huzoor meiN too baar-baar 'arz
zaahir hai tera haal sab un par kahe baGHair.

dil hee to hai na sang-o-KHisht....

dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?

dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?

jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN ?

dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN ?

qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?

husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN.

waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN.

haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?

'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?

dard minnat_kash-e-dawa na huaa........

dard minnat_kash-e-dawa na huaa

maiN na achchaa huaa, bura na huaa.

jama'a karate ho kyoN raqeeboN ka ?

ik tamaasha huaa gila na huaa

ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN ?

too hee jab KHanjar aazma na huaa.

kitne sheereeN haiN tere lab ! ki raqeeb

gaaliyaaN khaake be_maza na huaa.

hai KHabar garm unke aane kee

aaj hee ghar meiN boriya na huaa !

kya woh namrood kee KHudaaee thee

bandagee meiN tera bhala na huaa.

jaan dee, dee huee usee ki thee

haq to ye hai ke haq adaa na huaa

zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama

kaam gar ruk gaya rawa na huaa.

rahzanee hai ki dil_sitaanee hai ?

leke dil, dil_sitaaN rawa na huaa.

kuchch to paDhiye ki log kehte haiN

"aaj 'GHalib' GHazalsara na huaa".

laazim tha ki dekho mera rasta .....

laazim tha ki dekho mera rasta koee din aur
tanha gaye kyoN ? ab raho tanha koee din aur.
mit jaayega sar, gar tera patthar na ghisega
hooN dar pe tere naasiyaa_farsa koee din aur.
aaye ho kal aur aaj hee kehte ho ki jaaooN
maana ki hamesha naheeN, achchaa, koee din aur.
jaate huve kahte ho, qayaamat ko milenge
kya khoob ! qayaamat ka hai goya koee din aur ?
haaN 'ei falak-e-peer, javaaN tha abhee 'aarif'
kya tera bigaData jo na marta koee din aur ?
tum maah-e-shab-e-char_dahum the; mere ghar ke
phir kyoN na raha ghar ka woh naqsha koee din aur ?
tum kaun se 'eise the; khare daad-o-sitad ke ?
karta malak_ul_maut taqaaza koee din aur ?
mujhse tumhaiN nafrat sahee, 'nayyar' se laDaayee
bachhoN ka bhee dekha na tamaasha koee din aur ?
guzree na baharhaal yah muddat KHushee-naaKHush
karna tha, javaaN_marg ! guzaara koee din aur
naadaaN ho jo kehte ho ki kyoN jeete ho 'GHalib'
qismat meiN hai marne ki tamanna koee din aur ?

ishq mujhko naheen...

ishq mujhko naheeN, wehshat hee sahee
meree wehshat, teree shohrat hee sahee.

qata`a keeje na ta`alluq ham se
kuchch naheeN hai to `adaavat hee sahee.
mere hone meiN hai kya ruswaaee ?
'ei woh majlis naheeN KHalwat hee sahee.

ham bhee dushman to naheeN haiN apne
GHair ko tujh se mohabbat hee sahee.
apnee hastee hee se ho, jo kuchch ho !
aagahee gar naheeN GHaflat hee sahee.

'umr harchand ke hai barq-e-KHiraam
dil ke KHooN karne ki fursat hee sahee.
ham koee tarq-e-wafa karte haiN
na sahee ishq, museebat hee sahee.

kuchch to de 'ei falak-e-na_insaaf
aah-o-fariyaad ki ruKHasat hee sahee.

ham bhee tasleem kee KHoo Daalenge
be_niyaazee teree `aadat hee sahee.

yaar se cheDa chalee jaay, 'Asad'
gar nahee wasl to hasrat hee sahee.

Monday, December 3, 2007

ye inaayate.n

ye inaayate.n Gazab kii ye balaa kii meharabaanii
merii Khairiyat bhii puuchhii kisii aur kii zubaanii
meraa Gam rulaa chukaa hai tujhe bikharii zulf vaale
ye ghaTaa bataa rahii hai ki baras chukaa hai paanii

teraa husn so rahaa thaa merii chhe.D ne jagaayaa
vo nigaah mai.n ne Daalii ki sa.Nvar ga_ii javaanii

merii bezubaan aa.Nkho.n se gire hai.n chand qatare
vo samajh sake to aa.Nsuu na samajh sake to paanii

Khaamosh yaadein...

kabhii Khaamosh baiThogii kabhii kuchh gun_gunaaogii kabhii Khaamosh baiThogii kabhii kuchh gun_gunaaogii
mai.n utanaa yaad aa_uu.Ngaa mujhe jitanaa bhulaaogii

ko_ii jab puuchh baiThegaa Khaamoshii kaa sabab tum se
bahut samajhaanaa chaahogii magar samajhaa na paaogii

kabhii duniyaa muqammal ban ke aaye.ngii nigaaho.n me.n
kabhii merii kabhii duniyaa kii har ek rain bitaaogii
kahii.n par bhii rahe.n ham to muhabbat phir muhabbat hai
tumhe.n ham yaad aaye.nge hame.n tum yaad aaogii

ye raat ye tanhaa_ii

ye raat ye tanhaa_ii ye raat ye tanhaa_ii
ye dil ke dha.Dakane kii aavaaz

ye sannaaTaa
ye Duubate taaro.n kii

Khaamosh Gazal_Khvaanii
ye vaqt kii palko.n par

sotii hu_ii viiraanii
jazbaat-e-muhabbat kii

ye aaKhirii anga.Daa_ii
bajatii hu_ii har jaanib

ye maut kii shahanaa_ii
sab tum ko bulaate hai.n

pal bhar ko tum aa jaao
band hotii merii aa.Nkho.n me.n

muhabbat kaa
ik Khvaab sajaa jaao

merii kahaanii ...

aaGaaz to hotaa hai anjaam nahii.n hotaa
jab merii kahaanii me.n vo naam nahii.n hotaa

jab zulf kii kaalikh me.n ghul jaaye ko_ii rahii
bad_naam sahii lekin gum_naam nahii.n hotaa

ha.Ns ha.Ns ke javaa.N dil ke ham kyo.n na chune.n Tuka.De
har shaKhs kii qismat me.n inaam nahiin hotaa
bahate hue aa.Nsuu ne aa.Nkho.n se kahaa tham kar
jo mai se pighal jaaye vo jaam nahii.n hotaa

din Duube hai.n yaa Duubii baaraat liye kashtii
saahil pe magar ko_ii koharaam nahiin hotaa

Sunday, December 2, 2007

haNgaam-e-kamaal achcha hai

husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai
us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai .
bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah
jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai.
aur baazaar se le aaye agar TooT gaya
saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai .
be_talab daiN to maza usme siwa milta hai
woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai.
unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq
woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai.
dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ?
ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai.
ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya
jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai .
qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye
kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha hai.
KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz
shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai.
hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai.

HazaaroN KHwahishaiN eisee....

hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle.
Dare kyooN mera qaatil kya rahega uskee gardan par
wo KHooN, jo chashm-e-tar se 'umr bhar yooN dam_ba_dam nikle .
nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle .
bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazee ka
agar is turra-e-pur_pech-o-KHam ka pech-o-KHam nikle.
magar likhwaaye koee usko KHat, to hamse likhawaaye
huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle.
huee is daur meiN mansoob mujhse baada_aashaamee
fir aaya wo zamaana, jo jahaaN se jaam-e-jam nikle.
huee jinse tavaqqo KHastagee kee daad paane kee
wo hamse bhee ziyaada KHasta-e-teGH-e-sitam nikle.
mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle.
zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle.
KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle.
kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle.

Friday, November 30, 2007

koee din gar zindagaanee aur hai

koee din gar zindagaanee aur hai

apne jee meiN hamne THaanee aur hai

aatish-e-dozaKH meiN ye garmee kahaaN

soz-e-GHam haay nihaanee aur hai

baarha dekhee haiN unkee ranjishaiN

par kuchch ab ke sar_giraanee aur hai

deke KHat muNh dekhta hai naamabar

kuchch to paiGHaam-e-zabaanee aur hai

qaata-e-'amaar hai aksar nujoom

woh balaa-e-aasmaanee aur hai

ho chukeeN 'GHalib' balaayeN sab tamaam

ek marg-e-naagahaanee aur hai

Fir kuchh is dil ko beqaraaree hai.....

Fir kuchch is dil ko beqaraaree hai

seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai

Fir jigar khodane laga naaKHun

aamad-e-fasl-e-laala_qaaree hai

qibla-e-maqsad-e-nigaah-e-niyaaz

fir wahee parda-e-'amaaree hai

chashm-e-dallaal -e- jins-e-ruswaaee

dil KHareedaar-e-zauq-e-KHwaaree hai

wohee sad_rang naala farsaayee

wohee sad_goona ashq_baaree hai

dil hawa-e-KHiraam-e-naaz se fir

mahshristaan-e-beqaraaree hai

jalwa fir arz-e-naaz karta hai

roz-e-baazaar-e-jaaN_sipaaree hai

fir usee bewafa pe marte haiN

fir wohee zindagee hamaaree hai

fir khula hai dar-e-adaalat-e-naaz

garm baazaar-e-fauj_daaree hai

ho raha hai jahaan meiN andher

zulf kee fir sarishta_daaree hai

fir kiya paara-e-jigar ne sawaal

ek fariyaad-o-aah-o-zaaree hai

fir hue haiN gawaah-e-ishq talab

ashq_baaree ka hukm_zaaree hai

dil-o-mizhgaaN ka jo muqadamaa tha

aaj fir uskee roob_qaaree hai

be_KHudee be_sabab naheeN 'GHalib'

kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai

Ghar Se Nikle Thhe Hoslaa Karke

Ghar Se Nikle Thhe Hoslaa Karke.
Laot Aaye Khuda Khudaa Karke.
Dard-e-Dil Paaaoge Wafaa Karke.
Humne Dekha Hain Tajourba Karke.
Zindagi To Kabhi Nahee AaayiMaot Aayi Zara Zaraa Karke.
Log Sounte Rahe Dimaag Ki BaatHum Chale Dil Ko Rahnouma Karke.
Kis Ne Paayaa Sukoun Duniya MeinZindegaanee Ka Saamnaa Karke.

Thursday, September 13, 2007

A Ki Meri Jan Men Qarar Nahin Hai

A ki meri jan men qarar nahin hai

Taqat-e-bedad-e-intazar nahin hai.


Dete hain janat hayat-e-dahar ke badale

Nashsha baandaza-e-khumar nahin hai.


Giriya nikale hai teri bazm se mujh ko

Haye! Ki rone pe ikhtiyar nahin hai.


Ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir

Khak men ushshaq ki gubar nahin hai.


Dil se utha lutf-e-jalva haye maani

Gair-e-gul aina-e-bahar nahin hai.



Qatl ka mere kiya hai ahad to bare Vaye!

Agar ahad ustavar nahin hai.


Tu ne qasam maikashi ki khai hai `ghalib`

Teri qasam ka kuch aitabar nahin hai.

Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak


Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak

Kaun jitaa hai teri zulf ke sar hone tak .


Daam har mauj men hai halqaa-e-sadkaam-e-nahang

Dekhen kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak.


Aashiqi sabr-talab aur tamanaa betaab

Dil kaa kyaa rang karun khun-e-jigar hone tak.



Ham ne maanaa ke tagaaful na karoge lekin

Khaak ho jaayenge ham tum ko khabar hone tak.



Partav-e-khur se hai shabanam ko fanaa ki taalim

Main bhi hun ek inaayat ki nazar hone tak.



Yaknazar besh nahin fursat-e-hasti gaafil

Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak.


Gam-e-hasti kaa `asad` kis se ho juz marg ilaaj

Shammaa har rang men jalati hai sahar hone tak

Aina Kyun Na Dun Ke Tamasha Kahen Jise

Aina kyun na dun ke tamasha kahen jise Aisa kahan se laun ke tujhasa kahen jise
Hasarat ne la rakha teri bazm-e-Khayal men guladasta-e-nigah suveda kahen jise.


Phunka hai kisane goshe muhabbat men ai Khuda Afasun-e-intazar tamana kahen jise
Sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye Vo ek musht-e-Khak ke sahara kahen jise.


Hai chashm-e-tar men hasarat-e-didar se nihan Shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise
Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko Subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise.


"Ghalib" bura na man jo vaiz bura kahe Aisa bhi koi hai ke sab achcha kahen jise.

Amad-E-Khat Se Hua Hai Sard Jo Bazar-E-Dost

Amad-e-Khat se hua hai sard jo bazar-e-dost dud-e-shama-e-kushta tha shayad Khat-e-rukhsar-e-dost


Ai dil naqabat andesh zabt-e-shauq kar kaun la sakata hai tab-e-jalva-e-didar-e-dost
Khana viransazi-e-hairat tamasha kijiye surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost



Ishq men bedad-e-rashq-e-Gair ne mara mujhe kushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost


Chashm-e-may raushan ke us bedard ka dil shad hai dida-e-pur-Khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost

Masnavi - Amon Ki Tarif Men

Han dil-e-dardmand zam-zama saz
kyun na khole dar-e-khazina-e-raz

Khame ka safhe par ravan hona
shakh-e-gul ka hai gul-fishan hona

Mujh se kya puchata hai kya likhiye
nuqta haye khiradafishan likhiye

Bare amon ka kuch bayan ho jaye
khama nakhle ratabafishan ho jaye

Am ka kaun mard-e-maidan hai
samar-o-shakh guve-o-chaugan hai

Tak ke ji men kyun rahe arman
aye ye guve aur ye maidan!

Am ke age pesh jave khak
phodata hai jale phaphole tak

Na chala jab kisi tarah maqadur
bada-e-nab ban gaya angur

Ye bhi nachar ji ka khona hai
sharm se pani pani hona hai

Mujhase pucho tumhen khabar kya hai
am ke age neshakar kya hai

Na gul us men na shakh-o-barg na bar
jab khizan aye tab ho us ki bahar

Aur daudaie qayas kahan
jan-e-shirin men ye mithas kahan

Jan men hoti gar ye shirini
kohakan bavajud-e-gamgini

Arz-E-Niyaz-E-Ishq Ke Qabil Nahin Raha

Arz-e-niyaz-e-ishq ke qabil nahin raha

Jis dil pe naz tha mujhe vo dil nahin raha


Jata hun dag-e-hasarat-e-hasti liye hue

Hun shama-e-kushta darakhur-e-mahafil nahin raha


Marane ki ai dil aur hi tadabir kar ki main

Shayan-e-dast-o-bazu-e-qatil nahin raha


Ba-ru-e-shash jihat dar-e-ainabaz hai

Yan imtiaz-e-nakis-o-qamil nahin rahaa


Va kar diye hain shauq ne band-e-naqab-e-husn

Gair az nigah ab koi hail nahin raha


Go main raha rahin-e-sitam haye rozagar

Lekin tere khayal se gafil nahin raha


Dil se hava-e-kisht-e-vafa mit ke van

Hasil sivaye hasrat-e-hasil nahin raha


Bedad-e-ishq se nahin darata magar asad

Jis dil pe naz tha mujhe vo dil nahin raha

Bahot Sahi Gam-E-Geti Sharab Kam Kya Hai

Bahot sahi Gam-e-geti sharab kam kya hai
Gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhako Gam kya hai

Tumhari tarz-o-ravish janate hain ham kya hai
Raqib par hai agar lutf to sitam kya hai

Sukhan men Khama-e-Galib ki atashafashani
Yaqin hai hamako bhi lekin ab us men dam kya hai

Be-Aitadaliyon Se Subuk Sab Men Ham Hue

Be-aitadaliyon se subuk sab men ham hue

Jitane ziyada ho gaye utane hi kam hue

Pinhan tha dam sakht qarib ashiyan ke
Udane na paye the ki giraftar ham hue

Hasti hamari apani fana par dalil hai
Yan tak mite ke ap ham apani qasam hue

Sakhtikashan-e-ishq ki puchhe hai kya khabar
Vo log rafta-rafta sarapa alam hue

Teri vafa se kya ho talafi ki dahar men
Tere siva bhi ham pe bahut se sitam hue

Likhate rahe junun ki hikayat-e-khunchakan
Harchand is men hath hamare qalam hue

Allah re! Teri tundi-e-khu jis ke bim se
Azza-e-nala dil men mere rizqe-ham hue

Ahal-e-havas ki fatah hai tark-e-nabard-e-ishq
Jo panv uth gaye vo hi un ke alam hue

Nal-e-adam men chand hamare supurd the
Jo wan na khinch sake so wo yan ake dam hue

Chodi asad na ham ne gadai men dillagi
Sail hue to ashiq-e-ahal-e-karam hue

Mauj e saraab e dasht e vafaa

Mauj e saraab e dasht e vafaa kaa na puchh haal
har zarraa misl e jauhar e teG aabadaar thaa.

Kam jaanate the ham

Kam jaanate th e ham bhii Gam e ishq ko par ab
dekhaa to kam hue pa Gam e rozagaar thaa.

Galiyon men merii laash ko

Galiyon men merii laash ko khenche phiro ki main
jaan daad e havaa e sar e rahaguzaar thaa

Ab main huun aur maatam e yak

Ab main huun aur maatam e yak shahar e aarazuu
todaa jo tuu ne aa iinaa timasaal daar thaa.

Ek ek qatare kaa mujhe

Ek ek qatare kaa mujhe denaa padaa hisaab
Khuun e jigar vadii at e mishagaan e yaar thaa.