Sunday, December 9, 2007

hairaa.N huu.N dil ko rouu.N.....

hairaa.N huu.N dil ko rouu.N ki piituu.N jigar ko mai.n
maqaduur huu.N to saath rakhuu.N nauhaagar ko mai.n.

chho.Daa na rashk ne ki tere ghar kaa naam luu.N
har ek se puuchhataa huu.N ki jaauu.N kidhar ko mai.n.

jaana pa.Daa raqiib ke dar par hazaar baar
ai kaash jaanataa na terii rahaguzar ko mai.n.

hai kyaa jo kas ke baa.Ndhiye merii balaa Dare
kyaa jaanataa nahiiN huu.N tumhaarii kamar ko mai.n

lo vo bhii kahate hai.n ki ye be_nang-o-naam hai
ye jaanataa agar to luTaataa na ghar ko mai.n.

chalataa huu.N tho.Dii duur har ik tez rau ke saath
pahachaanataa nahii.n huu.N abhii raahabar ko mai.n.

Khvaahish ko ahamaqo.n ne parastish diyaa qaraar
kyaa puujataa huu.N us but-e-bedaadagaar ko mai.n.

phir beKhudii me.n bhuul gayaa raah-e-kuu-e-yaar
jaataa vagarnaa ek din apanii Khabar ko mai.n.

apane pe kar rahaa huu.N qiyaas ahal-e-dahar kaa
samajhaa huu.N dil paziir mataa-e-hunar ko mai.n.

"Ghalib" Khudaa kare ki savaar-e-sama.nd-e-naaz
dekhuu.N alii bahaadur-e-aaliiguhar ko mai.n.

No comments: