Saturday, December 8, 2007

Gazals of Mirza (Zulmat.....)

Zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
Ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai.
Nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
Muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai.

Mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab
'Ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai.
Gauhar ko iqd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna
Kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai.
Deedaar baada, hausla saaqee, nigaah mast
Bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai.
'Ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
Zinhaar agar tumhaiN hawas-e-nae-o-nosh hai*.
Dekho mujhe jo deeda-e-ibrat nigaah ho
Meree suno jo gosh-e-naseehat niyosh hai.
Saaqee ba_jalwa dushman-e-imaan-o-aagahee
Mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai.
Ya shab ko dekhte the ke har gosha-e-bisaat
Daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai.
Lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
Yeh jannat-e-nigaah woh firdaus-e-gosh hai.

Ya subh dam jo dekhiye aakar to bazm meiN
Nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai.
DaaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
Ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai.
Aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai.

No comments: