Sunday, December 2, 2007

haNgaam-e-kamaal achcha hai

husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai
us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai .
bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah
jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai.
aur baazaar se le aaye agar TooT gaya
saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai .
be_talab daiN to maza usme siwa milta hai
woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai.
unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq
woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai.
dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ?
ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai.
ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya
jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai .
qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye
kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha hai.
KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz
shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai.
hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai.

No comments: