hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle.
Dare kyooN mera qaatil kya rahega uskee gardan par
wo KHooN, jo chashm-e-tar se 'umr bhar yooN dam_ba_dam nikle .
nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle .
bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazee ka
agar is turra-e-pur_pech-o-KHam ka pech-o-KHam nikle.
magar likhwaaye koee usko KHat, to hamse likhawaaye
huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle.
huee is daur meiN mansoob mujhse baada_aashaamee
fir aaya wo zamaana, jo jahaaN se jaam-e-jam nikle.
huee jinse tavaqqo KHastagee kee daad paane kee
wo hamse bhee ziyaada KHasta-e-teGH-e-sitam nikle.
mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle.
zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle.
KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle.
kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle.
No comments:
Post a Comment