Fir kuchch is dil ko beqaraaree hai
seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai
Fir jigar khodane laga naaKHun
aamad-e-fasl-e-laala_qaaree hai
qibla-e-maqsad-e-nigaah-e-niyaaz
fir wahee parda-e-'amaaree hai
chashm-e-dallaal -e- jins-e-ruswaaee
dil KHareedaar-e-zauq-e-KHwaaree hai
wohee sad_rang naala farsaayee
wohee sad_goona ashq_baaree hai
dil hawa-e-KHiraam-e-naaz se fir
mahshristaan-e-beqaraaree hai
jalwa fir arz-e-naaz karta hai
roz-e-baazaar-e-jaaN_sipaaree hai
fir usee bewafa pe marte haiN
fir wohee zindagee hamaaree hai
fir khula hai dar-e-adaalat-e-naaz
garm baazaar-e-fauj_daaree hai
ho raha hai jahaan meiN andher
zulf kee fir sarishta_daaree hai
fir kiya paara-e-jigar ne sawaal
ek fariyaad-o-aah-o-zaaree hai
fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
ashq_baaree ka hukm_zaaree hai
dil-o-mizhgaaN ka jo muqadamaa tha
aaj fir uskee roob_qaaree hai
be_KHudee be_sabab naheeN 'GHalib'
kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai
No comments:
Post a Comment