Thursday, September 13, 2007

A Ki Meri Jan Men Qarar Nahin Hai

A ki meri jan men qarar nahin hai

Taqat-e-bedad-e-intazar nahin hai.


Dete hain janat hayat-e-dahar ke badale

Nashsha baandaza-e-khumar nahin hai.


Giriya nikale hai teri bazm se mujh ko

Haye! Ki rone pe ikhtiyar nahin hai.


Ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir

Khak men ushshaq ki gubar nahin hai.


Dil se utha lutf-e-jalva haye maani

Gair-e-gul aina-e-bahar nahin hai.



Qatl ka mere kiya hai ahad to bare Vaye!

Agar ahad ustavar nahin hai.


Tu ne qasam maikashi ki khai hai `ghalib`

Teri qasam ka kuch aitabar nahin hai.

No comments: