laazim tha ki dekho mera rasta koee din aur
tanha gaye kyoN ? ab raho tanha koee din aur.
mit jaayega sar, gar tera patthar na ghisega
hooN dar pe tere naasiyaa_farsa koee din aur.
aaye ho kal aur aaj hee kehte ho ki jaaooN
maana ki hamesha naheeN, achchaa, koee din aur.
jaate huve kahte ho, qayaamat ko milenge
kya khoob ! qayaamat ka hai goya koee din aur ?
haaN 'ei falak-e-peer, javaaN tha abhee 'aarif'
kya tera bigaData jo na marta koee din aur ?
tum maah-e-shab-e-char_dahum the; mere ghar ke
phir kyoN na raha ghar ka woh naqsha koee din aur ?
tum kaun se 'eise the; khare daad-o-sitad ke ?
karta malak_ul_maut taqaaza koee din aur ?
mujhse tumhaiN nafrat sahee, 'nayyar' se laDaayee
bachhoN ka bhee dekha na tamaasha koee din aur ?
guzree na baharhaal yah muddat KHushee-naaKHush
karna tha, javaaN_marg ! guzaara koee din aur
naadaaN ho jo kehte ho ki kyoN jeete ho 'GHalib'
qismat meiN hai marne ki tamanna koee din aur ?
No comments:
Post a Comment