Thursday, September 13, 2007

Masnavi - Amon Ki Tarif Men

Han dil-e-dardmand zam-zama saz
kyun na khole dar-e-khazina-e-raz

Khame ka safhe par ravan hona
shakh-e-gul ka hai gul-fishan hona

Mujh se kya puchata hai kya likhiye
nuqta haye khiradafishan likhiye

Bare amon ka kuch bayan ho jaye
khama nakhle ratabafishan ho jaye

Am ka kaun mard-e-maidan hai
samar-o-shakh guve-o-chaugan hai

Tak ke ji men kyun rahe arman
aye ye guve aur ye maidan!

Am ke age pesh jave khak
phodata hai jale phaphole tak

Na chala jab kisi tarah maqadur
bada-e-nab ban gaya angur

Ye bhi nachar ji ka khona hai
sharm se pani pani hona hai

Mujhase pucho tumhen khabar kya hai
am ke age neshakar kya hai

Na gul us men na shakh-o-barg na bar
jab khizan aye tab ho us ki bahar

Aur daudaie qayas kahan
jan-e-shirin men ye mithas kahan

Jan men hoti gar ye shirini
kohakan bavajud-e-gamgini

No comments: