Sunday, December 9, 2007

bas ki dushwaar hai .....

bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.N honaaa
aadamii ko bhii mayassar nahii.n insaa.N honaa.

giriyaa chaahe hai Kharaabii mere kaashaane kii
dar-o-diivaar se Tapake hai bayaabaa.N honaa.

waa-e-diiwaangii-e-shauq ke har dam mujh ko
aap jaanaa udhar aur aap hii hairaa.N honaa.

jalvaa az_bas ke taqaaza-e-nigah karataa hai
jauhar-e-aaiina bhii chaahe hai mizaGaa.N honaa.

ishrat-e-qatl_gah-e-ahal-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaaraa hai shamashiir kaa uriyaa.N honaa.

le gaye Khaak me.n ham daaG-e-tamannaa-e-nishaat
tuu ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaa. N honaa.

ishrat-e-paaraa-e-dil, zaKhm-e-tamannaa_Khaanaa
lazzat-e-riish-e-jigar Garq-e-namakdaa.N honaa.

kii mere qatl ke baad us ne jafaa se taubaa
haaye us zod_pashemaa.N kaa pashemaa.N honaa.

haif us chaar girah kapa.De kii qismat 'Ghalib'
jis kii qismat me.n ho aashiq kaa garebaa.N honaa.

No comments: