Wednesday, December 5, 2007

dil hee to hai na sang-o-KHisht....

dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?

dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?

jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN ?

dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN ?

qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?

husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN.

waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN.

haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?

'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?

No comments: