Thursday, September 13, 2007

Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak


Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak

Kaun jitaa hai teri zulf ke sar hone tak .


Daam har mauj men hai halqaa-e-sadkaam-e-nahang

Dekhen kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak.


Aashiqi sabr-talab aur tamanaa betaab

Dil kaa kyaa rang karun khun-e-jigar hone tak.



Ham ne maanaa ke tagaaful na karoge lekin

Khaak ho jaayenge ham tum ko khabar hone tak.



Partav-e-khur se hai shabanam ko fanaa ki taalim

Main bhi hun ek inaayat ki nazar hone tak.



Yaknazar besh nahin fursat-e-hasti gaafil

Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak.


Gam-e-hasti kaa `asad` kis se ho juz marg ilaaj

Shammaa har rang men jalati hai sahar hone tak

No comments: