koee din gar zindagaanee aur hai
apne jee meiN hamne THaanee aur hai
aatish-e-dozaKH meiN ye garmee kahaaN
soz-e-GHam haay nihaanee aur hai
baarha dekhee haiN unkee ranjishaiN
par kuchch ab ke sar_giraanee aur hai
deke KHat muNh dekhta hai naamabar
kuchch to paiGHaam-e-zabaanee aur hai
qaata-e-'amaar hai aksar nujoom
woh balaa-e-aasmaanee aur hai
ho chukeeN 'GHalib' balaayeN sab tamaam
ek marg-e-naagahaanee aur hai
No comments:
Post a Comment