Wednesday, December 5, 2007

zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai...

zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai.

nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai.

mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab
'ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai.

gauhar ko ikd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna
kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai.

deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast
bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai

'ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
zinhaar gar tumhaiN hawas-e-na-o-nosh hai.

dekho mujhe jo deeda-e-ibrat_nigaah ho
meree suno jo gosh-e-naseehat_niyosh hai.

saaqee ba_jalwa dushman-e-imaan-o-aagahee
mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai.

ya shab ko dekhte the; ki har gosha-e-bisaat
daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai.

lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
yeh jannat-e-nigaah woh firdaus-e-gosh hai.

ya subh dam jo dekhiye aakar to bazm meiN
nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai.
daaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai.

aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai.

No comments: