Wednesday, December 5, 2007

hairaaN hooN .....

hairaaN hooN dil ko ro'ooN ki peetooN jigar ko maiN ?
maqdoor hooN to saath rakhooN nauhaagar ko maiN.
choDa na rashk ne ki tere ghar ka naam looN ?
har ek se poochta hooN ki jaaooN kidhar ko maiN ?
jaana paDa raqeeb ke dar par hazaar baar
'ei kaash jaanta na teree rahguzar ko maiN.
hai kya jo kas ke baaNdhiye meree bala dar'e
kya jaanta naheeN hooN tumhaaree kamar ko maiN ?
lo woh bhee kahate haiN ki yeh be_nang-o-naam hai
yeh jaanta agar to luTaata na ghar ko maiN.
chalta hooN thoDee door har ik tez rau ke saath
pehchaanta naheeN hooN abhee raahabar ko maiN.
KHwaahish ko 'ahamqoN ne parastish diya qaraar
kya poojta hooN us but-e-bedaadgar ko maiN ?
fir be_KHudee meiN bhool gaya raah-e-koo-e-yaar
jaata wagarna ek din apnee KHabar ko maiN.
apne pe kar raha hooN qiyaas 'ahl-e-dahar ka
samjha hooN dil_pazeer mata'a-e-hunar ko maiN.
'GHalib' KHuda kare ki sawaar-e-samand-e-naaz
dekhooN 'alee_bahaadur-e-aalee_guhar ko maiN.

No comments: