ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair
jaanega ab bhee too na mera ghar kahe baGHair
kehte haiN, jab rahee na mujhe taaqat-e-suKHan
jaanooN kisee ke dil ki maiN kyoNkar kahe baGHair.
kaam us'se aa paDa hai ki jiska jahaan meiN
lewe na koee naam 'sitamgar' kahe baGHair.
jee meiN hee kuchch naheeN hai hamaare, wagarna ham
sar jaaye ya rahe, na rahaiN par kahe baGHair.
choDooNga maiN na us but-e-kaafir ka poojna
choDe na KHalq go mujhe kaafir kahe baGHair
maqsad hai naaz-o-GHamza, wale guftagoo meiN kaam
chalta naheeN hai, dashna-o-KHanjar kahe baGHair.
har chand ho mushaahit-e-haq ki guftagoo
bantee naheeN hai baada-o-saaGHar kahe baGHair.
behra hooN maiN to chaahiye doona ho iltafaat
sunta naheeN hooN baat muqarrar kahe baGHair.
'GHalib' na kar huzoor meiN too baar-baar 'arz
zaahir hai tera haal sab un par kahe baGHair.
No comments:
Post a Comment