Nuktachin hai gam-e-dil us ko sunaye na bane.
kya bane bat jahan bat banaye na bane.
Main bulata to hun us ko magar ae jazba-e-dil
us pe ban jaye kuch aisi k bin aye na bane.
Khel samjha hai kahin chor na de, bhul na jaye
kash yun bhi ho k bin mere sataye na bane.
Gair phirta hai lie yun tere khat ko k agar
koi puche k ye kya hai to chupaye na bane.
Is nazakat ka bura ho wo bhale hain to kya
hath ayen to unhen hath lagaye na bane.
Kah sak kaun k ye jalwagari kis ki hai
parda chora hai wo usne k uthaye na bane.
Maut ki rah na dekhun k bin aye na rahe
tum ko chahun k na ao to bulaye na bane.
Bojh wo sar pe gira hai k uthaye na uthe
kam wo an para hai ki banaye na bane.
Ishq par zor nahi, hai ye wo atish 'Ghalib'
k lagye na lage aur bujhaye na bane.
No comments:
Post a Comment