

Dost gamkhwari main meri sai farmayenge kya
zakhm k bharne talak nakhun na barh jayenge kya.
Beniyazi had se guzri banda parwar kab talak
ham kahenge hal-e-dil aur ap farmayenge kya.
Hazrat-e-naseh gar ayen dida-o-dil farsh-e-rah
koi mujh ko ye to samjha do k samajhayenge kya.
Aj wan teg-o-kafan bandhe hue jata hun main
uzr mera qatl karne main wo ab layenge kya.
Gar kiya naseh ne ham ko qaid acha yon sahi
ye junun-e-ishq k andaz chut jayenge kya.
Khana zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kya
hain giraftar-e-wafa zindan se ghabarayenge kya.
Hai ab is mamure main qahat-e-gam-e-ulfat asad
ham ne ye mana k dilli main rahe khayenge kya.
No comments:
Post a Comment