Hai bas k har ik un k ishare mein nishan aur
karte hain muhabbat to guzarta hai guman aur.
Ya rab wo na samjhe hain na samajhenge meri bat
de aur dil un ko jo na de mujhko zuban aur.
Abaru se hai kya us nigah -e-naz ko paiband
hai tir muqarrar magar us ki hai kaman aur.
Tum shahar mein ho to hamein kya gam jab uthenge
le ayenge bazar se jakar dil-o-jan aur.
Logon ko hai khurshid-e-jahan tab ka dhoka
har roz dikhata hun main ik dag-e-nihan aur.
Leta na agar dil tumhen deta koi dam chain
karta jo na marta koi din ah-o-fugan aur.
Pate nahi jab rah to char jate hain nale
rukti hai meri taba to hoti hai rawan aur.
Hain aur bhi duniya mein sukhanawar bahut ache
kahte hain ki 'Ghalib' ka hai andaz-e-bayan aur.
No comments:
Post a Comment