Ek ek qatre ka mujhe dena para hisab
khun-e-jigar wadiat-e-mishagan-e-yar tha.
Ab main hun aur matam-e-yak shahar-e-arazu
tora jo tu ne aina timsal dar tha.
Galiyon main meri nash ko khenche phiro k main
jan dad-e-hawa-e-sar-e-rahguzar tha.
Mauj-e-sarab-e-dasht-e-wafa ka na puch hal
har zarra misl-e-jauhar-e-teg abdar tha.
Kam jante the ham bhi gam-e-ishq ko par ab
dekha to kam hue pa gam-e-rozgar tha.
No comments:
Post a Comment