Saturday, September 1, 2012

Kahte ho na denge ham dil agar pada paya..

































Kahte ho na denge ham dil agar para paya.
Dil kahan k gum kije hamne muddaa paya

Ishq se tabiat ne zist ka maza paya.
Dard ki dawa pai dard-e-bedawa paya

Dostdar-e-dushman hai etimad-e-dil malum.
Ah beasar dekhi nala narasa paya.

Sadagi-o-purkari bekhudi-o-hoshiyari.
Husn ko tagaful main juraat azama paya.

Guncha phir laga khilne aj ham ne apna dil
Khun kiya hua dekha gum kiya hua paya.

Hal-e-dil nahin malum lekin is qadar yani.
Ham ne bara dhunda tum ne bara paya.

Shor-e-pand-e-naseh ne zakhm par namak chirka
ap se koi puche tum ne kya maza paya.


No comments: