Maut ka ek din muayyan hai,
Neend kyun raat bar nahi aati.
Aage aati thi haal e dil pe hasi,
Ab kisi baat par nahi aati.
Hai kuch aisi hi baat jo chup hai,
Warna kya baat kar nahi
aati.
Daag-e-dil gar nazar nahi aata,
wo bhi aye charagar nahi
aati.
Hum wahan hai jahan se humko bhi, Kuch humari khabar nahin
aati.
kyon na cheekhon ki yaad karte hain, meri aawaaz gar nahin
aati.
Marte hai aarzoo mein marne ki,
Maut aati hai par nahi aati.
Kaaba kis munh se jaaoge Ghalib,
sharam tumko magar nahi aati.
No comments:
Post a Comment