Saturday, September 15, 2012

Har ek baat pe kahtey ho tum ki tu kya hai



Har ek baat pe kahtey ho tum k tu kya hai
tumhin kaho k ye andaz-e-guftagu kya hai.

Na shole mein ye karishma na barq mein ye ada
koi batao ki wo shokh-e-tundakhu kya hai.

Ye rashk hai k wo hota hai hamsukhan hamse
wagarna khauf-e-badamozi-e-ad kya hai.

Chipak raha hai badan par lahu se pairahan
hamari jeb ko an hajat-e-rafu kya hai.

Jala hia jism jahan dil bhi jal gaya hoga
kuredate ho jo ab rakh justaju kya hai.

Ragon mein daurate phirne k ham nahi qayal
jab ankh hi se na tapka to phir lahu kya hai.

Wo chiz jis k liye ham ko ho bahisht aziz
siwae bada-e-gulfam-e-mushkabu kya hai.

Piyun sharab agar khum bhi dekh lun do char
ye shisha-o-qadah-o-kuza-o-subu kya hai.

Rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi
to kis ummid pe kahiye k arazu kya hai.

Bana hai shah ka musahib, phire hai itarata
wagarna shahar mein "ghalib" ki abaru kya hai.

No comments: