Bas ke dushwar hai har kam ka asan hona
admi ko bhi mayassar nahi insan hona.
Giriya chahe hai kharabi mere kashane ki
dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona.
Wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko
ap jana udhar aur ap hi hairan hona.
Jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona.
Ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch
id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona.
Le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat
tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona.
Ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona.
Ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba
haye us zodpasheman ka pasheman hona.
Haif us char girah kapre ki qismat 'ghalib'
jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona.
No comments:
Post a Comment