Saturday, September 1, 2012

Phir mujhe deeda-e-tar yaad aaya...















Phir mujhe dida-e-tar yad aya
dil jigar tashna-e-fariyad aya.


Dam liya tha na qayamat ne hanoz
phir tera waqt-e-safar yad aya.


Sadgi haye tamanna yani
phir wo nairang-e-nazar yad aya.


Uzr-e-wamandagi ae hasrat-e-dil
nala karta tha jigar yad aya.


Zindagi yun bhi guzar hi jati
kyon tera rahguzar yad aya.


Kya hi rizwan se larai hogi
ghar tera khuld mein gar yad aya.


Ah wo jurrat-e-fariyad kahan
dil se tang ak jigar yad aya.


Phir tere kuche ko jata hai khayal
dil-e-gumgashta magar yad aya.


Koi wirani-si-wirani hai
dasht ko dekh k ghar yad aya.


Main ne majnun pe larkpan mein 'Asad'
sang uthaya tha k sar yad aya


No comments: