Wednesday, May 7, 2008

nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane .....

nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane
kya bane baat jahaaN baat banaaye na bane.

maiN bulaata to hooN usko magar 'ei jazba-e-dil
uspe ban jaaye kuchch 'eisee ki bin aaye na bane.

khel samjha hai kaheeN choD na de, bhool na jaay
kaash ! yooN bhee ho ki bin mere sataaye na bane.

GHair phirta hai liye yooN tere KHat ko ki agar
koee pooche ki yeh kya hai ? to chipaaye na bane.

is nazaakat ka bura ho, woh bhale haiN to kya
haaNth aaye to unhaiN haaNth lagaaye na bane.

keh sake kaun ki yeh jalwaa_garee kiskee hai
parda choDa hai woh usne ki uTHaaye na bane.

maut kee raah na dekhooN ki bin aaye na rahe
tumko chaahooN ki na aao, to bulaaye na bane.

bojh woh sar pe gira hai ki uTHaaye na uTHe
kaam woh aan paDa hai, ki banaaye na bane.

ishq par zor naheeN, hai ye woh aatish 'GHalib'
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane.

No comments: