Thursday, May 8, 2008

dekhna qismat ki aap apne pe rashk aajaaye hai .......

dekhna qismat ki aap apne pe rashk aajaaye hai
maiN use; dekhooN, bhalaa kab mujhse dekha jaaye hai

haath dho dil se yahee garmee gar andeshe meiN hai
aabgeena tundee-e-sahbaa se pighla jaaye hai

GHair ko yaarab ! woh kyoNkar mana'a-e-gustaaKHee kare ?
gar haya bhee usko aatee hai to sharma jaaye hai

shauq ko ye lat ke hardam naala KheeNche jaayiye
dil ki woh haalat ki dam lene se ghabra jaaye hai

door chashm-e-bad ! teree bazm-e-tarab se waah-waah
naGHma ho jaata hai waaN gar naala mera jaaye hai

GHarche hai tarz-e-taGHaaful, pardaadaar-e-raaz-e-ishq
par ham 'eise khoye jaate haiN ki woh paa jaaye hai

uskee bazm_aaraaiyaaN sunkar dil-e-raNjoor yaaN
misl-e-naqsh-e-muddaa-e-GHair baiTHa jaaye hai

hoke aashiq woh paree_ruKH aur naazuk ban gaya
rang khulta jaaye hai, jitna ki uData jaaye hai

naqsh ko uske musawwir par bhee kya-kya naaz hai
kheeNchta hai jis qadar, utana hee khiNchta jaaye hai

saaya meraa mujhse misl-e-dood bhaage hai 'Asad'
paas mujh aatish_bazaaN ke kisse Thahra jaaye hai

No comments: