ibn-e-mariyam huwa kare koee
mere dukh kee dawa kare koee
shar'a-o-aaeen par madaar sahee
'eise qaatil ka kya kare koee ?
chaal, jaise kaDee kamaaN ka teer
dil meiN 'eise ke jaa kare koee
baat par waaN zubaan kaT_tee hai
woh kahaiN aur suna kare koee
bak rahaa hooN junooN meiN kya kya kuchch
kuchch na samjhe KHuda kare koee
na suno gar bura kahe koee
na kaho gar bura kare koee
rok lo, gar GHalat chale koee
baKHsh do gar KHata kare koee
kaun hai jo naheeN hai haajat_mand ?
kiskee haajat rawa kare koee
kya kiyaa KHijr ne sikandar se
ab kise rehnuma kare koee ?
jab tavaqqo hee uTh gayee 'GHalib'
kyoN kisee ka gila kare koee ?
No comments:
Post a Comment