Saturday, May 24, 2008

diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye

diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye ?
huwa raqeeb to ho, naamaabar hai, kya kahiye ?

yeh zid, ki aaj na aave aur aaye bin na rahe
qaza se shikwa hamaiN kis qadar hai kya kahiye ?

rahe haiN yoN gah-o-be_gah ki koo-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye ?

zah-e-karishma ki yoN de rakhaa hai hamko fareb
ki bin kahe hee unhaiN sab KHabar hai, kya kahiye?

samajh ke karte haiN baazaar meiN woh pursish-e-haal
ki yeh kahe ki sar-e-rehguzar hai, kya kahiye ?

tumhaiN naheeN hai sar-e-rishtaa-e-wafa ka KHayaal
hamaare haath meiN kuchch hai, magar hai kya, kahiye ?

unhaiN sawaal pe zoam-e-junooN hai, kyoN laDiye ?
hame jawaab se qata'a-e-nazar hai, kya kahiye ?

hasad sazaa-e-kamaal-e-suKHan hai, kya keeje
sitam, bahaa-e-mata'a-e-hunar hai, kya kahiye ?

kaha hai kisne ki 'GHalib' buraa naheeN lekin
siwaay iske ki aashuftaa_sar hai kya kahiye?

No comments: