Wednesday, May 14, 2008

kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse .....

kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse
jafaayeN karke apnee yaad sharma jaaye hai mujhse

KHudaaya ! jazbaa-e-dil kee magar taaseer ulTee hai
ki jitna khiNtchataa hooN aur khiNtchtaa jaaye hai mujhse

woh bad_KHoo aur meree daastan-e-ishq tulaanee
ibaarat muKHtasar, qaasid bhee ghabra jaaye hai mujhse

udhar woh bad_GHumaanee hai, idhar yeh naatavaanee hai
na poocha jaaye hai us'se, na bola jaaye hai mujhse

sambhalne de mujhe 'ei na_ummidee kya qayaamat hai
ki daamaan-e-KHayaal-e-yaar chooTa jaaye hai mujhse

takalluf bartaraf nazzaaragee meiN bhee sahi, lekin
woh dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse

hue haiN paaNv hee pehle nabard-e-ishq meiN
na bhaaga jaaye hai mujhse, na Thehra jaaye hai mujhse

qayaamat hai ke howe muddaee ka ham_safar 'GHalib'
woh kaafir, jo KHuda ko bhee na sauNpa jaaye hai mujhse

No comments: