kisee ko de ke dil koee nawaa_sanj-e-fuGHaaN kyoN ho ?
na ho jab dil hee seene meiN to fir muNh meiN zubaaN kyoN ho ?
woh apnee KHoo na choDenge, ham apnee waz'a kyoN badleiN ?
subak_sar banke kya poocheiN ki ham se sar_giraaN kyoN ho ?
kiya GHam_KHwaar ne ruswa, lage aag is muhabbat ko
na laaye taab jo GHam ki, woh mera raazdaaN kyoN ho ?
wafa kaisee ? kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra
to fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN ho ?
qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam
giree hai jis pe kal bijlee woh mera aashiyaaN kyoN ho ?
ye kah sakte ho "ham dil meiN naheeN haiN" par ye batlaao
ki jab dil meiN tumhee-tum ho to aaNkho se nihaaN kyoN ho ?
GHalat hai jazba-e-dil ka shikwa, dekho juRm kiska hai
na khiNcho gar tum apne ko kashaakash darmiyaaN kyoN ho ?
ye fitna aadmee ki KHaana_weeraanee ko kya kam hai ?
hue tum dost jiske, dushman uska aasmaaN kyoN ho ?
yahee hai aazmaana to sataana kis ko kehte haiN ?
`adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaaN kyoN ho ?
kaha tumne ki "kyoN ho GHair ke milne meiN ruswaaee ?"
baja kehte ho, sach kehte ho, fir kahiyo ki "haaN kyoN ho ?"
nikaala chaahata hai kaam kya taa'anoN se too 'GHalib'
tere be_mehar kehne se wo tujh par meharabaaN kyoN ho ?
No comments:
Post a Comment