baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage
ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage
juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage
hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage
mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage
sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage
fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage
nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage
imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage
aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage
KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage
hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage
go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage
ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !
No comments:
Post a Comment