jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ?
kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?
raat din gardish meiN haiN saat aasmaaN
ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?
laag ho to usko ham samjaiN lagaav
jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?
ho liye kyoN naamaabar ke saath-saath ?
yaarab ! apne KHat ko ham pahooNchaayaiN kya ?
mauj-e-KHooN sar se guzar hee kyoN na jaaye
aastaan-e-yaar se uTh jaayaiN kya ?
umr bhar dekha kiye marne kee raah
mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya?
poochchte haiN woh ki 'GHalib' kaun hai ?
koee batlao ki ham batlaayaiN kya ?
No comments:
Post a Comment