Sunday, May 25, 2008

fir mujhe deeda-e-tar yaad aaya ...

fir mujhe deeda-e-tar yaad aaya
dil jigar tashna-e-fariyaad aaya

dam liya tha na qayaamat ne hanoz
fir tera waqt-e-safar yaad aaya

saadgee haay tamanna, yaanee
fir wo nai_rang-e-nazar yaad aaya

uzr-e-waamaaNdagee 'ei hasarat-e-dil
naala karta tha jigar yaad aaya

zindgee yoN bhee guzar hi jaatee
kyoN tera raahguzar yaad aaya ?

kya hee rizwaaN se laDaayee hogee
ghar tera KHuld meiN gar yaad aaya

aah woh jurat-e-fariyaad kahaaN
dil se tang aake jigar yaad aaya

fir tere kooche ko jaata hai KHayaal
dil-e-gumgashta magar yaad aaya

koee weeraanee-see-weeraanee hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya

maiNne majnooN pe laDakpan meiN 'Asad'
sang uTHaaya tha ki sar yaad aaya

No comments: