Sunday, May 25, 2008

fir mujhe deeda-e-tar yaad aaya ...

fir mujhe deeda-e-tar yaad aaya
dil jigar tashna-e-fariyaad aaya

dam liya tha na qayaamat ne hanoz
fir tera waqt-e-safar yaad aaya

saadgee haay tamanna, yaanee
fir wo nai_rang-e-nazar yaad aaya

uzr-e-waamaaNdagee 'ei hasarat-e-dil
naala karta tha jigar yaad aaya

zindgee yoN bhee guzar hi jaatee
kyoN tera raahguzar yaad aaya ?

kya hee rizwaaN se laDaayee hogee
ghar tera KHuld meiN gar yaad aaya

aah woh jurat-e-fariyaad kahaaN
dil se tang aake jigar yaad aaya

fir tere kooche ko jaata hai KHayaal
dil-e-gumgashta magar yaad aaya

koee weeraanee-see-weeraanee hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya

maiNne majnooN pe laDakpan meiN 'Asad'
sang uTHaaya tha ki sar yaad aaya

Saturday, May 24, 2008

diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye

diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye ?
huwa raqeeb to ho, naamaabar hai, kya kahiye ?

yeh zid, ki aaj na aave aur aaye bin na rahe
qaza se shikwa hamaiN kis qadar hai kya kahiye ?

rahe haiN yoN gah-o-be_gah ki koo-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye ?

zah-e-karishma ki yoN de rakhaa hai hamko fareb
ki bin kahe hee unhaiN sab KHabar hai, kya kahiye?

samajh ke karte haiN baazaar meiN woh pursish-e-haal
ki yeh kahe ki sar-e-rehguzar hai, kya kahiye ?

tumhaiN naheeN hai sar-e-rishtaa-e-wafa ka KHayaal
hamaare haath meiN kuchch hai, magar hai kya, kahiye ?

unhaiN sawaal pe zoam-e-junooN hai, kyoN laDiye ?
hame jawaab se qata'a-e-nazar hai, kya kahiye ?

hasad sazaa-e-kamaal-e-suKHan hai, kya keeje
sitam, bahaa-e-mata'a-e-hunar hai, kya kahiye ?

kaha hai kisne ki 'GHalib' buraa naheeN lekin
siwaay iske ki aashuftaa_sar hai kya kahiye?

Friday, May 23, 2008

dil se teree nigaah jigar tak utar gayee...

dil se teree nigaah jigar tak utar gayee
donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee.

shaq ho gaya hai seena, KHushee lazzat-e-firaaq
takleef-e-pardaadaari-e-zaKHm-e-jigar gayee

woh baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaaN ?
uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee

uDtee fire hai KHaak meree koo-e-yaar se
baare ab 'ei hawa, hawas-e- baal-o-par gayee

dekhooN to dil_farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-KHiraam-e-yaar bhee kya gul katar gayee

har bulhawas ne husn_parastee shiaar kee
ab aabru-e-sheva-e-'ehl-e-nazar gayee

nazzaare ne bhee kaam kiya waaN naqaab ka
mastee se har nigaah tere ruKH par bikhar gayee

farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya
kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee

maara zamaane ne 'Asadullah KHaaN' tumhe
woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?

Thursday, May 22, 2008

baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage ....

baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage

KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !

Wednesday, May 21, 2008

rone se aur ishq meiN be_baak ho gaye...

Rone se aur ishq meiN be_baak ho gaye
dhoye gaye ham 'eise ki bas paak ho gaye

sarf-e-baha-e-mai hue aalaat-e-maikashee
the; ye hee do hisaab, so yoN paak ho gaye

ruswa-e-dahar go hue aawaargee se tum
baare tabeeyatoN ke to chaalaak ho gaye

kehta hai kaun naala-e-bulbul ko be_asar
parde meiN gul ke laakh jigar chaak ho gaye

pooche hai kya wujood-o-adam 'ehl-e-shauq ka
aap apnee aag se KHas-o-KHaashaak ho gaye

karne gaye the; usse taGHaaful ka ham gila
kee ek hee nigaah ki bas KHaak ho gaye

is DHang se uTHaayee kal usne 'Asad' ki laash
dushman bhee jisko dekhke GHamnaak ho gaye

Tuesday, May 20, 2008

jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ?

jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ?
kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?

raat din gardish meiN haiN saat aasmaaN
ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?

laag ho to usko ham samjaiN lagaav
jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?

ho liye kyoN naamaabar ke saath-saath ?
yaarab ! apne KHat ko ham pahooNchaayaiN kya ?

mauj-e-KHooN sar se guzar hee kyoN na jaaye
aastaan-e-yaar se uTh jaayaiN kya ?

umr bhar dekha kiye marne kee raah
mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya?

poochchte haiN woh ki 'GHalib' kaun hai ?
koee batlao ki ham batlaayaiN kya ?

Monday, May 19, 2008

kisee ko de ke dil koee nawaa_sanj-e-fuGHaaN kyoN ho ?

kisee ko de ke dil koee nawaa_sanj-e-fuGHaaN kyoN ho ?
na ho jab dil hee seene meiN to fir muNh meiN zubaaN kyoN ho ?

woh apnee KHoo na choDenge, ham apnee waz'a kyoN badleiN ?
subak_sar banke kya poocheiN ki ham se sar_giraaN kyoN ho ?

kiya GHam_KHwaar ne ruswa, lage aag is muhabbat ko
na laaye taab jo GHam ki, woh mera raazdaaN kyoN ho ?

wafa kaisee ? kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra
to fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN ho ?

qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam
giree hai jis pe kal bijlee woh mera aashiyaaN kyoN ho ?

ye kah sakte ho "ham dil meiN naheeN haiN" par ye batlaao
ki jab dil meiN tumhee-tum ho to aaNkho se nihaaN kyoN ho ?

GHalat hai jazba-e-dil ka shikwa, dekho juRm kiska hai
na khiNcho gar tum apne ko kashaakash darmiyaaN kyoN ho ?

ye fitna aadmee ki KHaana_weeraanee ko kya kam hai ?
hue tum dost jiske, dushman uska aasmaaN kyoN ho ?

yahee hai aazmaana to sataana kis ko kehte haiN ?
`adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaaN kyoN ho ?

kaha tumne ki "kyoN ho GHair ke milne meiN ruswaaee ?"
baja kehte ho, sach kehte ho, fir kahiyo ki "haaN kyoN ho ?"

nikaala chaahata hai kaam kya taa'anoN se too 'GHalib'
tere be_mehar kehne se wo tujh par meharabaaN kyoN ho ?

Wednesday, May 14, 2008

kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse .....

kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse
jafaayeN karke apnee yaad sharma jaaye hai mujhse

KHudaaya ! jazbaa-e-dil kee magar taaseer ulTee hai
ki jitna khiNtchataa hooN aur khiNtchtaa jaaye hai mujhse

woh bad_KHoo aur meree daastan-e-ishq tulaanee
ibaarat muKHtasar, qaasid bhee ghabra jaaye hai mujhse

udhar woh bad_GHumaanee hai, idhar yeh naatavaanee hai
na poocha jaaye hai us'se, na bola jaaye hai mujhse

sambhalne de mujhe 'ei na_ummidee kya qayaamat hai
ki daamaan-e-KHayaal-e-yaar chooTa jaaye hai mujhse

takalluf bartaraf nazzaaragee meiN bhee sahi, lekin
woh dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse

hue haiN paaNv hee pehle nabard-e-ishq meiN
na bhaaga jaaye hai mujhse, na Thehra jaaye hai mujhse

qayaamat hai ke howe muddaee ka ham_safar 'GHalib'
woh kaafir, jo KHuda ko bhee na sauNpa jaaye hai mujhse

Monday, May 12, 2008

shauq har rang raqeeb-e-sar-o-saamaaN niklaa.......

shauq har rang raqeeb-e-sar-o-saamaaN niklaa
qais tasveer ke parde meiN bhee uriyaaN niklaa.

zaKHm ne daad na dee, tangee-e-dil ki yaarab !
teer bhee seena-e-bismil se par_afshaaN niklaa.

boo-e-gul, naala-e-dil, dood-e-charaaGH-e-mehfil
jo teree bazm se nikla, so parishaaN niklaa

thee nau_aamoz_fana'a himmat-e-dushwaar_pasand
saKHt mushkil hai ki yah kaam bhee aasaaN nikla

dil meiN fir giryaaN ne ik shor uThaaya 'GHalib'
aah jo qatra na nikla tha, so toofaaN nikla.

Taskin ko ham na roen jo zauq-e-nazr mile.....

Taskin ko ham na roen jo zauq-e-nazr mile
Huraan-e-khuld mein teri surat magar mile.

Apni gali mein mujhko na kar dafan baad-e-qatal
Mere pate se khalaq ko kyon tera ghar mile.

Saqi gari ki sharm karo aaj warna ham
Har shab piya hi karte hain, mai jis qadar mile.

Tujh se to kuchh kalaam nahin lekin ai nadim.
Mera salaam kaheyo agar naama bar mile.

Tum ko bhi ham dikhaenge Majnun ne kya kiya
Fursat kashaakash-e-gham-e-pinhaan se gar mile.

Laazim nahin ke khizar ki ham pairwi karen
Maana ke ek bazurg hamen ham safar mile.

Ai saaknaan-e-kucha-e-dildaar dekhna
Tum ko kahin jo Ghalib-e-aashufta sar mile.

Na tha kuch to Khuda tha, kuch na hota to Khuda hota......

Na tha kuch to Khuda tha, kuch na hota to Khuda hota
Duboyaa mujh ko hone ne, na hotaa main to kyaa hotaa

huaa jab Gam se yuu.N behis to Gam kyaa sar ke kaTane kaa
na hotaa gar judaa tan se to zaa.Nno.n par dharaa hotaa

Huii muddat ke 'Ghalib' mar gayaa par yaad aataa hai
wo har ek baat pe kehnaa ke yuuN hotaa to kyaa hotaa

Sunday, May 11, 2008

arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahii.n rahaa......

arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahii.n rahaa
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahii.n rahaa

jaataa huu.N daaG-e-hasarat-e-hastii liye hue
huu.N shammaa-e-kushtaa daraKhur-e-mahafil nahii.n rahaa

marane kii ai dil aur hii tadabiir kar ki mai.n
shaayaan-e-dast-o-baazuu-e-qaatil nahii.n rahaa

ba-ruu-e-shash jihat dar-e-aa_iinaabaaz hai
yaa.N imtiaaz-e-naakis-o-qaamil nahii.n rahaaa

vaa kar diye hai.n shauq ne band-e-naqaab-e-husn
Gair az nigaah ab ko_ii haa_il nahii.n rahaa

go mai.n rahaa rahiin-e-sitam haaye rozagaar
lekin tere Khayaal se Gaafil nahii.n rahaa

dil se havaa-e-kisht-e-vafaa miT ke vaa.N
haasil sivaaye hasrat-e-haasil nahii.n rahaa

bedaad-e-ishq se nahii.n Darata magar 'Asad'
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahii.n rahaa

haa.N dil-e-dard_ma.nd zam-zamaa saaz......

haa.N dil-e-dard_ma.nd zam-zamaa saaz
kyuu.N na khole dar-e-Khazinaa-e-raaz

Khaame kaa safhe par ravaa.N honaa
shaaKh-e-gul kaa hai gul-fishaa.N honaa

mujh se kyaa puuchhataa hai kyaa likhiye
nuqtaa haaye Khiradafishaa.N likhiye

baare, aamo.n kaa kuchh bayaa.N ho jaaye
Khaamaa naKhle ratabafishaa.N ho jaaye

aam kaa kaun mard-e-maidaa.N hai
samar-o-shaaKh, guve-o-chaugaa.N hai

taak ke jii me.n kyuu.N rahe armaa.N aaye,
ye guve aur ye maidaa.N! aam ke aage pesh jaa

Friday, May 9, 2008

ham rashk ko apane bhii gavaaraa nahii.n karate.....

ham rashk ko apane bhii gavaaraa nahii.n karate
marate hai.n vale un kii tamannaa nahii.n karate

dar pardaa unhe.n Gair se hai rabt-e-nihaanii
zaahir kaa ye pardaa hai ki pardaa nahii.n karate

yah baa_is-e-naumiidi-e-arbaab-e-havas hai
Gaalib ko buraa kahate ho achchhaa nahii.n karate

hai bas ki har ik unake ishaare me.n nishaa.N aur........

hai bas ki har ik unake ishaare me.n nishaa.N aur
karate hai.n muhabbat to guzarataa hai gumaa.N aur

yaa rab vo na samajhe hai.n na samajhe.nge merii baat
de aur dil unako jo na de mujhako zubaa.N aur

abaruu se hai kyaa us nigaah -e-naaz ko paiba.nd
hai tiir muqarrar magar usakii hai kamaa.N aur

tum shahar me.n ho to hame.n kyaa Gam jab uThe.nge
le aaye.nge baazaar se jaakar dil-o-jaa.N aur

har cha.nd subuk_dast hue but_shikanii me.n
ham hai.n to abhii raah me.n hai sang-e-giraa.N aur

hai Khuun-e-jigar josh me.n dil khol ke rotaa
hote kaii jo diidaa-e-Khuu.Nnaaba_fishaa.N aur

marataa huu.N is aavaaz pe har cha.nd sar u.D jaaye
jallaad ko lekin vo kahe jaaye ki haa.N aur

logo.n ko hai Khurshiid-e-jahaa.N taab kaa dhokaa
har roz dikhaataa huu.N mai.n ik daaG-e-nihaa.N aur

letaa na agar dil tumhe.n detaa koii dam chain
karataa jo na marataa koii din aah-o-fuGaa.N aur

paate nahii.n jab raah to cha.D jaate hai.n naale
rukatii hai merii tabaa to hotii hai ravaa.N aur hai.n aur

bhii duniyaa me.n suKhanavar bahut achchhe
kahate hai.n ki 'Ghalib' kaa hai a.ndaaz-e-bayaa.N aur

Thursday, May 8, 2008

dekhna qismat ki aap apne pe rashk aajaaye hai .......

dekhna qismat ki aap apne pe rashk aajaaye hai
maiN use; dekhooN, bhalaa kab mujhse dekha jaaye hai

haath dho dil se yahee garmee gar andeshe meiN hai
aabgeena tundee-e-sahbaa se pighla jaaye hai

GHair ko yaarab ! woh kyoNkar mana'a-e-gustaaKHee kare ?
gar haya bhee usko aatee hai to sharma jaaye hai

shauq ko ye lat ke hardam naala KheeNche jaayiye
dil ki woh haalat ki dam lene se ghabra jaaye hai

door chashm-e-bad ! teree bazm-e-tarab se waah-waah
naGHma ho jaata hai waaN gar naala mera jaaye hai

GHarche hai tarz-e-taGHaaful, pardaadaar-e-raaz-e-ishq
par ham 'eise khoye jaate haiN ki woh paa jaaye hai

uskee bazm_aaraaiyaaN sunkar dil-e-raNjoor yaaN
misl-e-naqsh-e-muddaa-e-GHair baiTHa jaaye hai

hoke aashiq woh paree_ruKH aur naazuk ban gaya
rang khulta jaaye hai, jitna ki uData jaaye hai

naqsh ko uske musawwir par bhee kya-kya naaz hai
kheeNchta hai jis qadar, utana hee khiNchta jaaye hai

saaya meraa mujhse misl-e-dood bhaage hai 'Asad'
paas mujh aatish_bazaaN ke kisse Thahra jaaye hai

ibn-e-mariyam huwa kare koee........

ibn-e-mariyam huwa kare koee
mere dukh kee dawa kare koee

shar'a-o-aaeen par madaar sahee
'eise qaatil ka kya kare koee ?

chaal, jaise kaDee kamaaN ka teer
dil meiN 'eise ke jaa kare koee

baat par waaN zubaan kaT_tee hai
woh kahaiN aur suna kare koee

bak rahaa hooN junooN meiN kya kya kuchch
kuchch na samjhe KHuda kare koee

na suno gar bura kahe koee
na kaho gar bura kare koee

rok lo, gar GHalat chale koee
baKHsh do gar KHata kare koee

kaun hai jo naheeN hai haajat_mand ?
kiskee haajat rawa kare koee

kya kiyaa KHijr ne sikandar se
ab kise rehnuma kare koee ?

jab tavaqqo hee uTh gayee 'GHalib'
kyoN kisee ka gila kare koee ?

Wednesday, May 7, 2008

nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane .....

nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane
kya bane baat jahaaN baat banaaye na bane.

maiN bulaata to hooN usko magar 'ei jazba-e-dil
uspe ban jaaye kuchch 'eisee ki bin aaye na bane.

khel samjha hai kaheeN choD na de, bhool na jaay
kaash ! yooN bhee ho ki bin mere sataaye na bane.

GHair phirta hai liye yooN tere KHat ko ki agar
koee pooche ki yeh kya hai ? to chipaaye na bane.

is nazaakat ka bura ho, woh bhale haiN to kya
haaNth aaye to unhaiN haaNth lagaaye na bane.

keh sake kaun ki yeh jalwaa_garee kiskee hai
parda choDa hai woh usne ki uTHaaye na bane.

maut kee raah na dekhooN ki bin aaye na rahe
tumko chaahooN ki na aao, to bulaaye na bane.

bojh woh sar pe gira hai ki uTHaaye na uTHe
kaam woh aan paDa hai, ki banaaye na bane.

ishq par zor naheeN, hai ye woh aatish 'GHalib'
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane.

koee ummeed bar naheeN aatee.....

koee ummeed bar naheeN aatee
koee soorat nazar naheeN aatee.

maut ka ek din mu'ayyan hai
neeNd kyoN raat bhar naheeN aatee ?

aage aatee thee haal-e-dil pe haNsee
ab kisee baat par naheeN aatee .

jaanta hooN sawaab-e-taa'at-o-zahad
par tabeeyat idhar naheeN aatee.

hai kuchch 'eisee hee baat jo chup hooN
warna kya baat kar naheeN aatee ?

kyoN na cheeKHooN ki yaad karate haiN
meree aawaaz gar naheeN aatee .

daaGH-e-dil gar nazar naheeN aata
boo bhee 'ei chaaraagar ! naheeN aatee.

ham wahaaN haiN jahaaN se hamko bhee
kuchch hamaaree KHabar naheeN aatee.

marte haiN aarzoo meiN marne ki
maut aatee hai par naheeN aatee.

kaaba'a kis muNh se jaaoge 'GHalib'
sharm tumko magar naheeN aatee.

Tuesday, May 6, 2008

woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ?

woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ?

fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise ?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN ?

dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa
shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN ?

thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN ?

'eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?

hamse chooTa qamaar_KHaana-e-ishq
waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN ?

fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN ?

muzmahil ho gaye quwa'a 'GHalib'
wo anaasir meiN 'eitdaal kahaaN ?

ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN.....

ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN


nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?

tere jawaahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhaiN ?
ham auj-e-taal'a-e-laal-o-guhar ko dekhte haiN

Monday, May 5, 2008

ye na thii hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa....

ye na thii hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahate yahii intazaar hotaa.

tere vaade par jiye ham to ye jaan jhuuTh jaanaa
ke Khushii se mar na jaate agar aitabaar hotaa.

terii naazukii se jaanaa ki ba.Ndhaa thaa ahd_bodaa
kabhii tuu na to.D sakataa agar ustavaar hotaa.

koii mere dil se puuchhe tere tiir-e-niimakash ko
ye Khalish kahaa.N se hotii jo jigar ke paar hotaa.

ye kahaa.N kii dostii hai ke bane hai.n dost naaseh
koii chaaraasaaz hotaa, koii Gam_gusaar hotaa.

rag-e-sang se Tapakataa wo lahuu ki phir na thamataa
jise Gam samajh rahe ho ye agar sharaar hotaa.

Gam agarche jaa.N_gusil hai, pe kahaa.N bache.n ke dil hai
Gam-e-ishq gar na hotaa, Gam-e-rozagaar hotaa.

kahuu.N kis se mai.n ke kyaa hai, shab-e-Gam burii balaa hai
mujhe kyaa buraa thaa maranaa agar ek baar hotaa.

hue mar ke ham jo rusavaa, hue kyo.N na Garq-e-dariyaa
na kabhii janaazaa uThataa, na kahii.n mazaar hotaa.

use kaun dekh sakataa ki yaganaa hai wo yaktaa
jo duii kii buu bhii hotii to kahii.n do chaar hotaa.

ye masaail-e-tasavvuf, ye teraa bayaan 'Ghalib'
tujhe ham walii samajhate, jo na baadaa_Khvaar hotaa.

Thursday, May 1, 2008

muddat huii hai yaar ko mahamaa.N kiye hue...

muddat huii hai yaar ko mahamaa.N kiye hue.
josh-e-qadah se bazm charaaGaa.N kiye hue.

karataa huu.N jamaa phir jigar-e-laKht-laKht ko.
arsaa huaa hai daavat-e-mizshgaa.N kiye hue.

phir vazaa-e-ehatiyaat se rukane lagaa hai dam.
baraso.n hue hai.n chaak girebaa.N kiye hue.

phir garm_naalaa haaye sharar_baar hai nafas.
muddat huii hai sair-e-charaaGaa.N kiye hue.

phir pursish-e-jaraahat-e-dil ko chalaa hai ishq.
saamaa.N-e-sad_hazaar namak_daa.N kiye hue.

phir bhar rahaa huu.N Khaamaa-e-mizshgaa.N baa_Khuun-e-dil.
saaz-e-chaman_taraazii-e-daamaa.N kiye hue.

baa_ham_digar hue hai.n dil-o-diidaa phir raqiib.
nazzaaraa-o-Khayaal kaa saamaa.N kiye hue.

dil phir tavaaf-e-kuu-e-malaamat ko jaaye hai.
pi.ndaar kaa sanam_kadaa viiraa.N kiye hue.

phir shauq kar rahaa hai Khariidaar kii talab.
arz-e-mataa-e-aql-o-dil-o-jaa.N kiye hue.

dau.De hai phir har ek gul-o-laalaa par Khayaal.
sad_gul_sitaa.N nigaah kaa saamaa.N kiye hue.

phir chaahataa huu.N naamaa-e-dil_daar kholana.
ajaa.N nazar-e-dil_farebii-e-unvaa.N kiye hue.

maa.Nge hai phir kisii ko lab-e-baam par havasz.
ulf-e-siyaah ruKh pe pareshaa.N kiye hue.

chaahe phir kisii ko muqaabil me.n aarazuu.
surme se tez dashnaa-e-mizshgaa.N kiye hue.

ik nau_bahaar-e-naaz ko taake hai phir nigaah.
chehara furoG-e-mai se gulistaa.N kiye hue.

phir jii me.n hai ki dar pe kisii ke pa.De rahe.n.
sar zer baar-e-minnat-e-darbaa.N kiye hue.

jii Dhuu.NDhataa hai phir vahii fursat ke raat din.
baiThe rahe.n tasavvur-e-jaanaa.N kiye hue.

‘Ghalib’ hame.n na chhe.D ki phir josh-e-ashk se.
baiThe hai.n ham tahayyaa-e-tuufaa.N kiye hue.