

Wo firaq aur wo wisal kahan
wo shab-o-roz-o-mah-o-sal kahan.
Fursat-e-karobar-e-shauq kise
zauq-e-nazara-e-jamal kahan.
Dil to dil wo dimag bhi na raha
shor-e-sauda-e-khat-o-khal kahan.
Thi wo ik shakhs k tasawur se
ab wo ranai-e-khayal kahan
Aisa asan nahi lahu rona
dil mein taqat jigar mein hal kahan
Hamse chuta qomarkhana-e-ishq
wan jo jayen girah mein mal kahan
Fikr-e-dunya mein sar khpata hun
main kahan aur ye wabal kahan
Muzmahil ho gaye quwe 'Ghalib'
wo anasir mein aitadal kahan
No comments:
Post a Comment