Saturday, October 6, 2012

Daaim para hua tere dar par nahi hun main



Daaim para hua tere dar par nahi hun main
khak aisi zindagi pe,k paththar nahi hun main

Kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dil
insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main

Yarab, zamana mujh ko mitata hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main

Had chahiye saza mein, uqubat k waste
akhir gunahgar hun, kafir nahi hun main

Kis waste aziz nahi jante mujhe
lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main

Rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyun dareg
rutbe mein mahr-o-mah se kamtar nahi hun main

Karte ho mujhko mana-e-qadambos kis liye
kya asman k bhi barabar nahi hun main

'Ghalib' wazifakhwar ho, do shah ko dua
wo din gaye ki kahte the "naukar nahi hun main"

No comments: