Monday, June 9, 2008

maze jahaan ke apnee nazar meiN ....

maze jahaan ke apnee nazar meiN KHaak naheeN
siwaay KHoon-e-jigar, so jigar meiN KHaak naheeN

magar GHubaar huve par hawa uDaa le jaaye
wagarna taab-o-tavaaN baal-o-par meiN KHaak naheeN

yeh kis bahisht_shamaail kee aamad-aamad hai ?
ke GHair jalva-e-gul rahguzar meiN KHaak naheeN


bhala use; na sahee, kuchch mujhee ko raham aataa
asar mere nafas-e-be_asar meiN KHaak naheeN

KHayaal-e-jalva-e-gul se KHaraab hai maikash
sharaabKHane ke deewar-o-dar meiN KHaak naheeN

huwa hooN ishq ki GHaaratgaree se sharminda
siwaay hasrat-e-taameer ghar meiN KHaak naheeN

hamaare sher haiN ab sirf dil_lagee ke 'Asad'
khulaa ki faayda arz-e-hunar meiN KHaak naheeN

No comments: