Thursday, June 5, 2008

husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai ...

husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai
us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai

bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah
jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai

aur baazaar se le aaye agar TooT gaya
saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai

be_talab daiN to maza usme siwa milta hai
woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai

unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq
woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai

dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ?
ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai

ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya
jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai

qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye
kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha hai

KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz
shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai

hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai

No comments: