jis bazm meiN too naaz se guftaar meiN aave
jaaN kaalbud-e-soorat-e-deewaar meiN aave
saaye kee tarah saath firaiN, sarv-o-sanobar
too iss qad-e-dilkash se jo gulzaar meiN aave
tay naaz-e-giraaN_maaygi-e-ashq baja hai
jab laKHt-e-jigar deeda-e-KHooNbaar meiN aave
de mujhko shikaayat kee ijaazat ki sitamgar
kuchch tujhko maza bhee mere aazaar meiN aave
uss chashm-e-fusooN_gar ka agar paaye ishaara
tootee kee tarah aaeena guftaar meiN aave
kaatoN kee zabaaN sookh gayee pyaas se, yaarab !
ik aablaa_paa waadee-e-pur_KHaar meiN aave
mar jaaooN na kyoN rashk se jab woh tan-e-naazuk
aaGHosh-e-KHaam-e-halqa-e-zunnaar meiN aave
GHaarat_gar-e-naamoos na ho gar hawas-e-zar
kyoN shaahid-e-gul baaGH se baazaar meiN aave
tab chaak-e-girebaaN ka maza hai, dil-e-naadaaN
jab ik nafas uljha huaa har taar meiN aave
aatish_kada hai seena mera raaz-e-nihaaN se
de waaye ! agar maa'ariz-e-izhaar meiN aave
gaNjeena-e-maa'anee ka talism usko samajhiye
jo lafz ki 'GHalib' mere ash'aar meiN aave
No comments:
Post a Comment