dill mera soz-e nihaa.n sey be-mahaba jal gaya
Aatish-e khamosh ki manind goya jal gaya
dill main zouq-e vasl o yaad-e yaar tak baaqi nahi
Aag is ghar main lagi aisi k jo tha jal gaya
main adam sey bhi parey hoon warna ghafil barha
meri Aah-e Aatishee.n sey baal-e a'nqa jal gaya
arz kejeye johar-e andesha ki garmi kaha.n!
kuch khayyal aya tha wehshat ka k sehra jal gaya
dill nahi tujh ko dikhata warna daghoo.n ki bahar
as charaghaa.n ka kya karoo.n kya kaar-e farma jal gaya
main hoon aur afsurdagi ki Aazro Ghalib k dill
dekh kar tarz-e tapaak_e ahe'l duniya jal gaya
No comments:
Post a Comment