>
Ye na thi hamari qismat k wisal-e-yar hota
agar aur jite rahte yahi intzar hota.
agar aur jite rahte yahi intzar hota.
Tere wade par jiye ham to ye jan jhuth jana
k khushi se mar na jate agar aitbar hota.
k khushi se mar na jate agar aitbar hota.
Teri nazuki se jana k bandha tha ahdboda
kabhi tu na tor sakta agar ustawar hota.
kabhi tu na tor sakta agar ustawar hota.
Koi mere dil se puche tere tir-e-nimakash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar k par hota.
ye khalish kahan se hoti jo jigar k par hota.
Ye kahan ki dosti hai k bane hain dost naseh
koi charasaz hota, koi gamgusar hota.
koi charasaz hota, koi gamgusar hota.
Rag-e-sang se tapakta wo lahu k phir na thamta
jise gam samajh rahe ho ye agar sharar hota.
jise gam samajh rahe ho ye agar sharar hota.
Gam agarche jangusil hai, pe kahan bachen k dil hai
gam-e-ishq gar na hota, gam-e-rozgar hota.
gam-e-ishq gar na hota, gam-e-rozgar hota.
Kahun kis se main k kya hai, shab-e-gam buri bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek bar hota.
mujhe kya bura tha marna agar ek bar hota.
Hue mar k ham jo ruswa, hue kyon na garq-e-dariya
na kabhi janaza uthta, na kahin mazar hota.
na kabhi janaza uthta, na kahin mazar hota.
Use kiun dekh sakta ki yagana hai wo yakta
jo dui ki bu bhi hoti to kahin do char hota.
jo dui ki bu bhi hoti to kahin do char hota.
Ye masail-e-tasawuf, ye tera bayan 'Ghalib'
tujhe ham wali samajhte, jo na badkhwar hota.
No comments:
Post a Comment