Sab kahan kuch lala-o-gul mein numayan ho gain
khak mein kya suratein hongi k pinhan ho gain.

Yad thi hamko bhi ranga rang bazmaraiyan
lekin ab naqsh-o-nigar-e-taq-e-nisiyan ho gain.

Thin banatunnash-e-gardun din ko parde mein nihan
shab ko un k ji mein kya ai k uriyan ho gain.

Qaid mein yaqub ne li jo na yusuf ki khabar
lekin ankhein rauzan-e-diwar-e-zindan ho gain.

Sab raqibon se hon nakhush, par zanan-e-misr se
hai zulaikha khush ke mahw-e-mah-e-kanan ho gain.

Ju-e-khun ankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq
main ye samjhunga k shamaen ho farozan ho gain.

In parizadon se lenge khuld mein ham intaqam
qudrat-e-haq se yahi huren agar wan ho gain.
Nind usai hai, dima uska hai, ratein uski hain
teri zulfein jiske bazu par parishan ho gain.

Main chaman mein kya gaya, goya dabistan khul gaya
bul-bulein sun kar mere nale, gazalkhwan ho gain.

Wo nigahein kyun hui jati hain yarab dil k par
jo meri kotahi-e-qismat se mizshgan ho gain.

Bas k roka main ne aur sine mein ubhaen pai ba pai
meri ahen bakhiya-e-chak-e-gariban ho gain.

Wan gaya bhi main to unki galiyon ka kya jawab
yad thi jitni duain, sarf-e-darban ho gain.

Janfiza hai bara, jis k hath mein jam a gaya
sab lakirein hath ki goya rag-e-jan ho gain.

Ham muwahihad hain, hamara kesh hai tark-e-rusum
millatein jab mit gain, ajza-e-iman ho gain.

Ranj se khugar hua insan to mit jata hai ranj
mushkilein mujh par pari itni ke asan ho gain.

Yun hi gar rota raha 'Ghalib', to ae ahl-e-jahan
dekhna in bastiyon ko tum ki wiran ho gain.

No comments:
Post a Comment