Friday, August 31, 2012

Ye Na Thi Hamari Qismat K Wisal E Yar Hota..


>


Ye na thi hamari qismat k wisal-e-yar hota
agar aur jite rahte yahi intzar hota.

Tere wade par jiye ham to ye jan jhuth jana
k khushi se mar na jate agar aitbar hota.

Teri nazuki se jana k bandha tha ahdboda
kabhi tu na tor sakta agar ustawar hota.

Koi mere dil se puche tere tir-e-nimakash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar k par hota.

Ye kahan ki dosti hai k bane hain dost naseh
koi charasaz hota, koi gamgusar hota.

Rag-e-sang se tapakta wo lahu k phir na thamta
jise gam samajh rahe ho ye agar sharar hota.

Gam agarche jangusil hai, pe kahan bachen k dil hai
gam-e-ishq gar na hota, gam-e-rozgar hota.

Kahun kis se main k kya hai, shab-e-gam buri bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek bar hota.

Hue mar k ham jo ruswa, hue kyon na garq-e-dariya
na kabhi janaza uthta, na kahin mazar hota.

Use kiun dekh sakta ki yagana hai wo yakta
jo dui ki bu bhi hoti to kahin do char hota.

Ye masail-e-tasawuf, ye tera bayan 'Ghalib'
tujhe ham wali samajhte, jo na badkhwar hota.  

Ishq Mujhko Nahi Wahshat Hi Sahi....































Ishq mujhko nahi wahshat hi sahi
meri wahshat teri shohrat hi sahi.


Qata kije na talluq ham se
kuch nahi hai to adawat hi sahi.


Mere hone mein hai kya ruswai
ye wo majlis nahi khalwat hi sahi.


Ham bhi dushman to nahi hain apne
gair ko tujh se mohabbat hi sahi.


Apni hasti hi se ho jo kuch ho
agahi gar nahi gaflat hi sahi.


Umr har chand ki hai barq-e-khiram
dil k khun karne ki fursat hi sahi.


Ham koi tarq-e-wafa karte hain
na sahi ishq musibat hi sahi.


Kuch to de ai falak-e-nainsaf
ah-o-fariyad ki rukhsat hi sahi.


Ham bhi taslim ki khu dalenge
beniyazi teri adat hi sahi.


Yar se cheda chali jaye "Asad"
gar nahi wasl to hasrat hi sahi.


Thursday, August 30, 2012

Dil Hi to Hai..................




Dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aye kyun
roenge ham hazar bar koi hamein sataye kyun
Dair nahi haram nahi dar nahi astan nahi
baithe hain rahguzar pe ham gair hamein uthaye kyun
Jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz
ap hi ho nazrasoz, parde mein munh chupaye kyun
Dashna-e-gamza jansitan, nawak-e-naz bepanah
tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aye kyun
Qaid-e-hayat-o-band-e-gam asl mein donon ek hain
maut se pahle admi gam se najat paye kyun
Husn aur us pe husn-e-zan rah gai bulahawas ki sharm
apne pe etimad hai gair ko azamaye kyun
Wan wo guroor-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas waza
rah mein ham milen kahan, bazm mein wo bulayen kyun
Han wo nahi khudaparast, jao wo bewafa sahi
jisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaye kyun

"Ghalib"-e-khasta k bagair kaun se kam band hain
Roie zar-zar kya, kijie haye-haye kyun 

Sunday, August 26, 2012

Sab Khama Kuch Lala-O-Gul mem

>



Sab kahan kuch lala-o-gul mein numayan ho gain
khak mein kya suratein hongi k pinhan ho gain.

Yad thi hamko bhi ranga rang bazmaraiyan
lekin ab naqsh-o-nigar-e-taq-e-nisiyan ho gain.

Thin banatunnash-e-gardun din ko parde mein nihan
shab ko un k ji mein kya ai k uriyan ho gain.

Qaid mein yaqub ne li jo na yusuf ki khabar
lekin ankhein rauzan-e-diwar-e-zindan ho gain.

Sab raqibon se hon nakhush, par zanan-e-misr se
hai zulaikha khush ke mahw-e-mah-e-kanan ho gain.

Ju-e-khun ankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq
main ye samjhunga k shamaen ho farozan ho gain.

In parizadon se lenge khuld mein ham intaqam
qudrat-e-haq se yahi huren agar wan ho gain.

Nind usai hai, dima uska hai, ratein uski hain
teri zulfein jiske bazu par parishan ho gain.

Main chaman mein kya gaya, goya dabistan khul gaya
bul-bulein sun kar mere nale, gazalkhwan ho gain.

Wo nigahein kyun hui jati hain yarab dil k par
jo meri kotahi-e-qismat se mizshgan ho gain.

Bas k roka main ne aur sine mein ubhaen pai ba pai
meri ahen bakhiya-e-chak-e-gariban ho gain.

Wan gaya bhi main to unki galiyon ka kya jawab
yad thi jitni duain, sarf-e-darban ho gain.

Janfiza hai bara, jis k hath mein jam a gaya
sab lakirein hath ki goya rag-e-jan ho gain.

Ham muwahihad hain, hamara kesh hai tark-e-rusum
millatein jab mit gain, ajza-e-iman ho gain.

Ranj se khugar hua insan to mit jata hai ranj
mushkilein mujh par pari itni ke asan ho gain.

Yun hi gar rota raha 'Ghalib', to ae ahl-e-jahan
dekhna in bastiyon ko tum ki wiran ho gain.


Naqus'e Fariyadi Hai (Creation is Reflection)







Thursday, August 23, 2012

Ishq Ne Ghalib Nikamma Kar Diya....


Ishq Ne Ghalib Nikamma Kar Diya....

Gair lei.n mehfil mei.n bose jaam ke
ham rahe.n yu.n tashna-alab paigam ke

Khat likhe.nge garche matlab kuchh na ho
ham to aashiq hai.n tumhaare naam ke

Ishq ne ‘Ghalib’ nikammaa kar diyaa
varnaa ham bhi aadmi the kaam key ......