miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN
kaafir hooN gar na miltee ho raahat ‘azaab meiN
kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ?
shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN
taa fir na intezaar meiN neeNd aaye ‘umr bhar
aane ka ‘ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN
qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN
mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam
saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN
jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale ?
kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN ?
maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se
Daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab meiN
mai aur haz’z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai
jaaN nazr denee bhool gaya iztiraab meiN
hai tevaree chaDee huee andar naqaab ke
hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN
laakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka
laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN
woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye
jis naale se shigaaf paDe aaftaab meiN
woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye
jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN
‘GHalib’ chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN
No comments:
Post a Comment