Wednesday, July 16, 2008

aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai....

aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahin hai

dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badale
nashshaa baa_andaazaa-e-khumaar nahin hai

giriyaa nikaale hai teri bazm se mujh ko
haaye! ki rone pe ikhtiyaar nahin hai

ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mein ushshaq ke gubaar nahin hai

dil se uthaa lutf-e-jalvaa haye ma_ani
gair-e-gul aaiinaa-e-bahaar nahin hai

qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare
vaaye! agar ahad ustavaar nahin hai

tu ne qasam maikashi ki khaai hai ‘Ghalib’
teri qasam ka kuchh aitabaar nahin hai

No comments: