Friday, November 30, 2007

koee din gar zindagaanee aur hai

koee din gar zindagaanee aur hai

apne jee meiN hamne THaanee aur hai

aatish-e-dozaKH meiN ye garmee kahaaN

soz-e-GHam haay nihaanee aur hai

baarha dekhee haiN unkee ranjishaiN

par kuchch ab ke sar_giraanee aur hai

deke KHat muNh dekhta hai naamabar

kuchch to paiGHaam-e-zabaanee aur hai

qaata-e-'amaar hai aksar nujoom

woh balaa-e-aasmaanee aur hai

ho chukeeN 'GHalib' balaayeN sab tamaam

ek marg-e-naagahaanee aur hai

Fir kuchh is dil ko beqaraaree hai.....

Fir kuchch is dil ko beqaraaree hai

seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai

Fir jigar khodane laga naaKHun

aamad-e-fasl-e-laala_qaaree hai

qibla-e-maqsad-e-nigaah-e-niyaaz

fir wahee parda-e-'amaaree hai

chashm-e-dallaal -e- jins-e-ruswaaee

dil KHareedaar-e-zauq-e-KHwaaree hai

wohee sad_rang naala farsaayee

wohee sad_goona ashq_baaree hai

dil hawa-e-KHiraam-e-naaz se fir

mahshristaan-e-beqaraaree hai

jalwa fir arz-e-naaz karta hai

roz-e-baazaar-e-jaaN_sipaaree hai

fir usee bewafa pe marte haiN

fir wohee zindagee hamaaree hai

fir khula hai dar-e-adaalat-e-naaz

garm baazaar-e-fauj_daaree hai

ho raha hai jahaan meiN andher

zulf kee fir sarishta_daaree hai

fir kiya paara-e-jigar ne sawaal

ek fariyaad-o-aah-o-zaaree hai

fir hue haiN gawaah-e-ishq talab

ashq_baaree ka hukm_zaaree hai

dil-o-mizhgaaN ka jo muqadamaa tha

aaj fir uskee roob_qaaree hai

be_KHudee be_sabab naheeN 'GHalib'

kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai

Ghar Se Nikle Thhe Hoslaa Karke

Ghar Se Nikle Thhe Hoslaa Karke.
Laot Aaye Khuda Khudaa Karke.
Dard-e-Dil Paaaoge Wafaa Karke.
Humne Dekha Hain Tajourba Karke.
Zindagi To Kabhi Nahee AaayiMaot Aayi Zara Zaraa Karke.
Log Sounte Rahe Dimaag Ki BaatHum Chale Dil Ko Rahnouma Karke.
Kis Ne Paayaa Sukoun Duniya MeinZindegaanee Ka Saamnaa Karke.